Skip to main content

Issi liye to andhere bhi kam nhi hote

Issi liye to andhere bhi kam nhi hote
k apne jism chiraghon may zam nhi hote


Khuda pe choriye sahib muamla dil ka
hmari umr may qol-o-qasam nhi hote


aur ab hay is liye afsos apne hone ka
kisi k ho gaye hote to hum nhi hote


wo hum hain jinka na hona bhi hone jaisa hay
wo hum hain jin k wajud-o-adam nhi hote


Ajeeb log hain ye khandan-e-ishq k log
k hote jaate hain qatal aur kam nhi hote


Hamari aahtain sunne k munatzir logo
hmare saath hamare qadam nhi hote


abhi se tark-e-ta'aluq ki bata karte ho
ye Faisle to mian aik dam se nhi hote


tumhe main is liye khud se juda samjhta hun
k muj se apne qaseede raqam nhi hote!

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.