Skip to main content

Posts

Showing posts from May, 2013

Tumne kaisa yeh raabta rakkha

Tumne kaisa yeh raabta rakkha Na mile ho na faasla rakkha Kitni rounaq hai perh par jab se Aik chirhiya ne gho'nsla rakkha Nahi'n chaha kisi ko tere sewa Tune ham ko bhi paarsa rakkha Phool khilte hi khul gayee aa'nkhe'n Kisne khushbu me'n saneha rakkha Tu na ruswa ho isliye hamne Apni chahat pe daira rakhkha

Aawaaz de rahi hai yeh kiski nazar Mujhe

Aawaaz de rahi hai yeh kiski nazar Mujhe  Shayad mile kinara wahin doobkar Mujhe  Chaha Tujhe to khud se Mohabbat si ho gayi Khone ke baad mil gayi apni khabar Mujhe  Har har kadam pe saath hoon saya hoon mai tera Ai bewafa dikha to zara bhool kar Mujhe  Duniya ko bhoolkar teri duniya me aa gaya Le jaa raha hai kaun idhar se udhar Mujhe   Duniya ka har nazara nigahon se chheen le  Kuch dekhna nahi hai tujhe dekhkar Mujhe

Dil pareshaan hai raat bhaari hai

Dil pareshaan hai raat bhaari hai Raat kya umra yun guzari ha  Wo  haseen fitratan shikari hai  Dena awaaz kiski baari hai  Maut kya Zindagi ko maaregi Zindagi Zindagi ki maari hai  Subah aayi nahi bulayi gayi Raat guzri nahi guzaari hai  Dil be-muda-a kissika nahi Saara sansaar hi bhikhari hai   Uska jalwa na  dekh paaya koyi  Pardadaari ki pardadaari hai

Aa gaya dil kissipe aana tha

Aa gaya dil kissipe aana tha Aapka husn ik bahana tha  Iptada-e-shabab bhi kya thi Chand taaron me aashiyana tha  Tinke tinke se mil ke roye hum Jaisa har tinka aashiyana tha  Ab to hai kunj kafas se badhtar Aap rahte to aashiyana tha  Barq ka shukriya ada kar loon Kitna be-noor aashiyana tha  Maine ghutkar kafas me dam todaa Saamne mera aashiyana tha  Barq ko aasmaan se aana pada Ek chhotasa aashiyana tha  Chand ghadiyaan kuch aisi bhi guzreen Na kafas tha na aashiyana tha

Ik haseen lajawaab dekha hai

Ik haseen lajawaab dekha hai Raat ko Aaftaab dekha hai  Gora mukhda yeh surkh gaal tere Chandni me gulaab dekha hai  Nargisi aankh zulf shabrangi Baadlon ka jawab dekha hai  Jhoomte jaamsa chhalakta badan Ek jaam-e-sharaab dekha hai  Hum to milkar na mil sake tumko Tumko dekha ke khwab dekha hai

Yaarab tere karam se yeh sauda karenge hum

Yaarab tere karam se yeh sauda karenge hum Duniya me pi ke khald me tauba karenge hum  Yun rasme-e-husn-o-ishq ko ruswa karenge hum Tum muntazir rahoge na aaya karenge hum  Aaine me khud apna tamasha karenge hum Yun bhi shab-e-firaaq guzaara karenge hum  Jab taq na nazar aaoge aisa karenge hum Har roz ik Khuda ko taraasha karenge hum  Tujhko bithake doorse dekha karenge hum Yun bhi tere guroorse khela karenge hum  Jaa tujhse beniyaaz huye Bhule tera zikra Tu chahega to teri Tamanna karenge hum

Yaar aata nazar nahi aata

Yaar aata nazar nahi aata Dard jaata nazar nahi aata  Jholi phaila chuke Mohabbat ki Koyi Daata nazar nahi aata  Ab to koyi bhi kuve-ulfat me Aata jaata nazar nahi aata  Log kahte hain geet hai Jeewan Koyi gaata nazar nahi aata  Ab yakeen ho chala ke unka haath Haath aata nazar nahi aata

Bakhabar tha ik nazarme do jahan le jaega

Bakhabar tha ik nazarme do jahan le jaega Meri jaan ban kar wo ik din meri jaan le jaega   Aakhri hichki se pahle chaaragar se poochloon Jo nazar aata nahi rishta kahan le jaega  Maikada daer-o-haram yaan koyi diwanoki bazm Tujhse yeh bichhada hua lamha kahan le jaega  Voh jo pichhle saal sab kheton ko sona de gaya Ab ke wo toofan kis kis ka makaan le jaega  Wo chala jaega mujhse karke iqraar-e-wafa Tod jaega safina baadbaan le jaega   Ishq me isne to jalana hi nahi seekha Kabhi Aag de jaega mujhko khud dhuan le jaega

Chhoti si berukhi pe shikayat ki baat hai

Chhoti si berukhi pe shikayat ki baat hai Aur voh bhi is liye ki Mohabbat ki baat hai  Maine kaha ke aaye ho kitne dinon ke baad Kahne lage huzoor yeh fursat ki baat hai  Maine kaha ke mil ke bhi hum kyun na mil sake  Kahne lage huzoor yeh kismat ki baat hai  Maine kaha ke rahte ho har baat par khafa Kahne lage huzoor yeh qurbatki baat hai  Maine kaha ke dete hain dil tum bhi laao dil Kahne lage ke yeh to tijarat ki baat hai  Maine kaha kabhi hai sitam aur kabhi karam Kahne lage ke yeh to tabiyat ki baat hai

Hai saare jag ka tu Daata yeh zimma le liya tune

Hai saare jag ka tu Daata yeh zimma le liya tune Magar jo jiske kaabil hai wahi usko diya tune  Kissiko deke daulat tune uski chheen li neenden Kissiko muflisi dekar bharosa de diya tune  Kissiko ishq dekar saari duniya loot li uski kissiko sabr dekar saara aalam de diya tune  Main apni zaat par jab gaur karta hoon to kahta hoon Bahot kam ke mai kaabil tha bahot kuch de diya tune

Main badi der me samjhe hoon yeh kya hoti hai

Main badi der me samjhe hoon yeh kya hoti hai Zindagi apni hi gumbad ki saza hoti hai  Waqt tal jata hai jab lab pe dua hoti hai   Wo bhi tab hota hai jab Uski raza hoti hai  Wasla to marz-e-mohabbat hai Mohabbat walo  Khud Mohabbat hi Mohabbat ka sila hoti hai

Hum nashin kaise bataun jazba-e-ulfat kya hai

Hum nashin kaise bataun jazba-e-ulfat kya hai Khud bataegi Mohabbat ke Mohabbat kya hai  Ishq ko log kyun majahi samajh baithe hain Gar nahi ishq Haqueequat to Haqueequat kya hai  Ishq ko bhoolke jannat ki hai duniya ko talaash Ishq ki aag gar dozakh hai to jannat kya hai  Aaya parwana gira shama par jal jal ke mara Tu abhi soch raha hai ke Mohabbat kya hai  Abhi wo aaye the yaa unka khayal aaya tha Ai mere shauk zara bol haqeequat kya hai  Meri badli huyi rangat meri haalat dekho Dosto ab to samajh lo ke Mohabbat kya hai

Wo sitamgar hai khayalaat samajhne wala

Wo sitamgar hai khayalaat samajhne wala Mujhse pahle mere jazbaat samajhne wala  Maine rakha hai hamesha hi tabbassum lab par Ro diya kyun mere haalaat samajhne wala  Jo na samjhe teri manzil wo yunhi chalta raha Ruk gaya tere muqamaat samajhne wala  Jo na samjhe wo banate raha laakhon baatein Hua khamosh teri baat samajhne wala  Raaz-e-taqdeer pe kya roshni daalega koyi  Khud sawaali hai sawalaat samajhne wala
kuchh duur hamaare saath chalo ham dil kii kahaanii kah de.nge, samajhe na jise tum aa.Nkho.n se vo baat zubaanii kah de.nge, jo pyaar kare.nge jaane.nge har baat hamaarii maane.nge, jo Khud na jale ho.n ulfat me.n vo aag ko paanii kah de.nge, jab pyaas javaa.N ho jaayegii ehasaas kii manzil paayegii, Khaamosh rahe.nge aur tumhe.n ham apanii kahaanii kah de.nge, is dil me.n zaraa tum baiTho to kuchh haal hamaaraa puuchho to, ham saadaa dil hai.n 'Ashk' magar har baat puraanii kah de.nge.

Dekh hamari deed ke karan kaisa Qaabil E deed hua

Dekh hamari deed ke karan kaisa Qaabil E deed hua Ek sitaara baiThe baiThe taabish meN khursheed hua Aaj to jaani, rastaa takte, shaam ka chaNd padeed hua Tu ne to inkaar kiya tha, dil kab naa-ummeed hua?? Aan ke is beemaar ko dekhe!! tujh ko bhi taufeeQ hui? Lab pe us ke naam tha tera, jab bhi dard shadeed hua HaaN us ne jhalak dikhlayi, ek hi pal ko dreeche meN Jaano  ek bijli lahraayi,  aalam ek shaheed hua Tu ne hum se kalaam bhi chhoRa, arz E wafaa k sunte hi Pahle kaun Qareeb tha hum se, ab to aur ba’eed hua Duniya ke sab karaj chhoRe, naam pe tere ‘Insha’ ne Aur use kya thoRe Gham the? tera ishq mazeed hua

Raat ke Khaab sunaayeN kis ko raat ke Khaab suhaane the

Raat ke Khaab sunaayeN kis ko raat ke Khaab suhaane the DhuNdhle dhuNdhle chehre the par sab jaane pahchaane the Ziddii vahshii alhaR chanchal miiThe log rasiile log HoNT un ke GhazaloN ke misr’e aaNkhoN meN afsaane the Ye laRkii to in galiyoN meN roz hii ghuumaa kartii thii Is se un ko milnaa thaa to is ke laakh bahaane the Ham ko saarii raat jagaayaa jalte bujhte taaroN ne Ham kyuuN un ke dar pe utre kitne aur Thikaane the Vahshat kii unvaan hamaarii in meN se jo naar banii DekheNge to log kaheNge ‘Insha’ ji dewaane the

Sunte haiN phir chhup chhup unke ghar meN aate jaate ho

Sunte haiN phir chhup chhup unke ghar meN aate jaate ho Insha saahab naahaq jii ko vahshat meN uljhaate ho Dil kii baat chhupaanii mushkil,lekin Khuub chhupaate ho Ban meN daanaa, shahr ke andar diivaane kahlaate ho Bekal bekal rahte ho, par mehfil ke aadaab ke saath AaNkh churaa kar dekhte ho, phir bhole bhii ban jaate ho Peet meN aise laakh jatan haiN, lekin ek din sab nakaam Aap jahaaN meN rusvaa hoge, vaa’z hameN farmaate ho Ham se naam junuuN kaa qaayam, ham se dasht kii aabaadii ham se dard ka shikvaa karte, ham ko zakhm dikhaate ho? ***

Daikh hamaray mathay pe yeh dasht-e-talab ki dhool miyaan

Daikh hamaray mathay pe yeh dasht-e-talab ki dhool miyaan Hum se ajab tera dard ka nata,daikh hmain mut bhool miyaan Ahl-e-wafa se baat na karna ho ga tera usool miyaan Hum kioun phairain in galyoon k phairoN ka ma’mool miyaan Yunhi to nahi dasht main pohnchay,yunhi to nahi jog liya Basti basti kantay daikhay jangal jangal phool miyaan Yeh to kaho kabhi ishq kia ha?jag main hoye ho ruswa bhi Is k siwa hum kuch na puuchain baqi baat fazool miyaan Nasb karain mehraab-e-tamanna,deeda-o-dil ko farsh karain Suntay hain wo kooe-wafa main aaj karain gay nazool miyaan Sun to liya kisi naar ki khatir kata koh, nikali nehr Ik zara say Qissay ko ab daitay ho kioun tool miyaan Khailnay day inhain ishq ki baazi,khailain gay to seekhain gay Qais ki ya Farhad ki khatir kholain kiya iskool miyaan? Ab to hamain manzoor hai yeh bhi,shehr se niklain,ruswa hoN Tujh ko daikha, baatain kar leen,mehnat hoi wasool miyaan Insha jee kiya uzr hai tm ko, naqd-e-dil-o-jaan nazr karo Roop

Insha Ji Utho, Ab Kooch Karo, Iss Shahr Mai Ji Ka Lagana Kya

Insha Ji Utho, Ab Kooch Karo, Iss Shahr Mai Ji Ka Lagana Kya Wahshi Ko Sukoo’N Say Kya Matlab, Jogi Ka Nagar MaiN Thikana Kya Iss Dil K Dareeda Daaman Ko, Dekho To Sahi, Socho To Sahi Jiss Jholi Mai Sau Chaid Huay, Uss Jholi Ka Phailana Kya Shab Beeti Chaand Bhi Doob Chala, Zanjeer Pari Darvazay Mai KyuN Dair Gaaye Ghar Aaye Ho, Sajni Say Karo Gay Bahana Kya Phir Hijar Ki Lambi Raat Miaan, Sanjog Ki To Hai Aik Ghari Jo Dil Mai Hai Lab Par Aanay Do, Sharmana Kya Ghabrana Kya Uss Roz Jo Unko Dekha Hai, Abb Khuwaab Ka Aalam Lagta Hai Uss Roz Jo Unn Say Baat Huee, Wo Baat Bhi Thi Afsana Kya Iss Husan K Suchchay Moti Ko, Hum Dekh Sakain Par Chhoo Na SakaiN Jise Dekh Sakain Par Chu Na Sakain, Wo Daulat Kya Wo Khazana Kya Usko Bhi Jala Dukhtay Huay Mun, Ik Shola Aag Bhabhuka Bann Younh Aansu Mai Behh Jana Kya, Younh Maati Mai Mil Jana Kya Jab Shahr K Log Na Rasta DaiN,  KyuN Bann Mai Na Ja Basraam Kare Deewano’n Ki See Na Baat Karay, To Aur Karay Dewana Kya

Apne humaraah jo aate ho idhar se pahle

Apne humaraah jo aate ho idhar se pahle Dasht pa Data hai miyaaN ishq meN ghar se pahle Chal diye uth ke suu-e-shahar-e-wafaa kuu-e-habeeb Puuchh lenaa thaa kisi Khaak basar se pahale Ishq pahale bhii kiyaa hijr kaa Gham bhii dekhaa Itane ta Dape hai.n na ghabaraaye na tarase pahale Ji bahalata hi nahiN ab koyee sa’at koyee pal Raat Dhalatii hii nahiN chaar pahar se pahale Hum kisi dar pe na ThiThake na kahiN dastak di Saika Do dar the meri jaaN tere dar se pahale ChaaNd se aaNkh mili ji ka ujaala jaaga hum ko sau baar huyee subah sahar se pahale

Lub per naam kisi ka ho, dil meN tera naqsha hai

Lub per naam kisi ka ho, dil meN tera naqsha hai Aay tasweer bananey wali, jab sey tujh ko dekha hai Be tere kya wahshat hum ko, tujh bin kaisa sabR-o sukooN Tu hi apna sheher hai jaani, tu hi apna sehra hai Neeley perbat, oodhi dharti, charoo.b koot main tu hi tu Tujh sey apney jee ki khalwat, tujh sey mun ka maila hai Aaj tu hum bikne ko aay, aaj humarey daam laga Yousuf tu bazaar-e wafa main, aik tikey ko bikta hai Lay jaani ab apne mun k pairahan ki girhaiN khol Lay jaani ab aadhi shab hay, charoo.n taraf sanata hai TufaaN ki baat nahi hay, tofaaN aate jaate rehte hain Tu ek narm hawa ka jhonka, dil k baagh main tehra hai Ya tu aaj humai.n apna lay, ya tu aaj humara ban Dekh k waqt guzarta jaa, koun abad tak jeeta hai Firda mehez fasoo.n ka parda, hum tu aaj k bandey hain Hij’r-o wasl,wafa aur dhoka sab kuch aa j pe rakhta hai

Yadon se mahakti hui is rat main kya hai

Yadon se mahakti hui is rat main kya hai Yeh raz khula aaj ke jazbat main kya hai Yun ghor se hathon ki lakeeren na padha kar bigden ge sanwar jayen ge halat main kya hai pahle to darakhton se nikalti thin karahen isbar zara daikhiye barsat main kya hai yeh kah ke parindon ne bhari aaj udanen shahron ki taraf chalte hain daihat main kya hai khichte hi chale aate hain dil shahr e hawas main jadu tri aankhon main tri bat main kya hai

Beete lamhon ka marsiya”

Beete lamhon ka marsiya” Chiragh Aakhri sanson main apni dooba hai Andhaire god main baithe hain laike kamre  ko Shikastagi hai bichi aik sahn e bad ru main Kahin kahin pai hawaon ne khak rakh di hai Hai dar bhi odhe huye ik rida udasi ki Hai chat bhi zakhm raseeda atab ki soorat Jahan se os kabhi chandni tapakti hai Utar daiti hain deewarain roz kapdon ko Bacha hua hai zaifi main jo ke aangan main Who neem aik kahani hai guzre maosam ki Kabhi baraste the badal ghatayen aati thin Kabootaron ke basere isi pai hote the Mamole karte the aapas main guftugu aksar Gharonde bante the unke yahin pai rah rah kar Chahakte rahte the har sham jhutputon ke hujoom Magar yeh waqt hai is ki rawish anokhi hai Kabutaron ki jgah Boom ke thikane hain Har aik shakh pai tanhai ke fasane hain Khamoshiyon ki sadaon ko cheerne ke liye Bas ik karah e dil e pash pash uthti hai.

Kahan gaye woh khuda jane chorh kar mujh ko

Tumhare sath jo guzre the rat din maire kahan gaye woh khuda jane chorh kar mujhe ko main un ko aaj bhi dil main chupana chahta hun ke woh bade hi muqqadas the wadi e gil main ke un se rabt raha hai mairi tamanna ka Ke un ke khwab mre aansuon main roshan hain ke un ke lams ko mahsoos ab bhi karta hun wahi to the jo mri rooh ke muhafiz the wahi to the jo mri chahaton ki manzil the wahi to the jo mre raston ki ronaq the wahi to the jo mri dhadkanon main shamil the Wahi to the jo mri fikr ki tamazat the magar main aaj unhen kho chuka Hamaisha ko magar yeh dil hai ke phir un ke khwab daikhta hai tumhare Sath jo guzre the rat din maire kahan gaye woh khuda jane chod kar mujhko.

Jo taiz ro the thi pairon main jin ke jan buhat

Jo taiz ro the thi pairon main jin ke jan buhat Woh log odh ke soye hain ab thakan buhat na jane shor utha kar kahan se lai hai Hawa ne aaj dukhaye hain maire kan buhat yeh zindagi bhi ajab rah ki musafir hai kahin chadhan buhat hai kahin dhalan buhat Zamin uthe gi nahin aasman jhukega nahin Ana parast hain donon ke khandan buhat Kisi ka dard sunu ga to toot jaunga Maire liye hai faqat mairi dastan buhat Gharon main qaid kahin ikhtilaf hote hain Makeen ho ke bhi rahte hain bemakan buhat

Zair e saya bhi ab qayam nahi

Zair e saya bhi ab qayam nahi Kya darakhton pai koi sham nahin Kon Baghon ki sair ko jaye Taire zanu ka ahtimam nahin Aaino se bhi tum ko nafrat hai Pattharon ka bhi ahtram nahin Raston main ulajh na jana tum Yeh tumhara abhi muqam nahi Log matlab ghalat nikalte hain Rah chalton ko ab salam nahin Bus mulaqat karne aay tha Aap se mujh ko koi kam nahin Kash koi to us ko samjhaye Zindagi be rukhi ka nam nahin Log Saghar uthaye baithe hain Aik qatre ka intizam nahin

Dil ko lagtii hai dilrubaa kii adaa,

Dil ko lagtii hai dilrubaa kii adaa, jii meN bastii hai Khush-adaa kii adaa, garche sab Khuub-ruu haiN Khuub vale, qatl kartii hai Mirzaa ki adaa, harf-e-bejaa hai gar boluuN, dushman-e-hosh hai piyaa kii adaa, naqsh-e-diivaar kyuN na ho aashiq, hairat-afzaa hai be-vafaa kii adaa, gul hu’e garq-e-aab-e-shabnam meN, dekh us saahib-e-hayaa kii adaa, ai “Wali” dard-e-sar kii daaruu hai, manjh-kuuN us sandalii qabaa kii adaa.

Kuuchaa-e-yaar ‘ain Kaasii hai,

Kuuchaa-e-yaar ‘ain Kaasii hai, jogii-e-dil vahaaN kaa baasii hai, pii ke bairaag kii udaasii suuN, dil pe mere sadaa udaasii hai, zulf terii hai mauj Jamnaa kii, til nazik uske jyuN sanaasii hai, ye siyaah zulf tujh zanakhdaaN par, naaginii jyuN kuNve pe pyaasii hai, jis kii guftaar meN nahiiN hai mazaa, suKhan uskaa ta’am-e-baasii hai, ai “Wali” jo libaas tan pe rakhaa, aashiqaaN ke nazik libaasii hai.

Dil kuuN gar martabaa ho darpan kaa,

Dil kuuN gar martabaa ho darpan kaa, muft hai dekhnaa siriijan kaa, ai zubaaN kar madad ki aaj sanam, muntazir hai bayaan-e-roshan kaa, hikmat-e-ishq Bu Ali suuN na puuchh, nain vo qaanuuN shinaas is fan kaa, aaiinaa tujh se ho ke ham-zaanuu, Ghairat-afzaa hu’aa hai gulshan kaa, amn meN tujh nigaah so haiN be-daar, Khauf naiiN muflisoN ko rahzan kaa, tuk “Wali” ki taraf nigaah karo, subh suuN muntazir hai darshan kaa.

Yaad karna har gharhi us yar ka,

Yaad karna har gharhi us yar ka,  Hai wazeefa mujh dil e bimar ka,  Arzu e chashma e kausar nahi,  Tishna lab hoo'n sharbat e didar ka,  Aaqbat kya howega maloom nahi,  Dil hua hai mubtila dildar ka,  Kya kahe tareef dil hai benazir,  Harf harf us makhzan e israr ka,  Gar hua hai talib e aazadgi,  Band mat ho subba o zunnar ka,  Masnad e gul manzil e shabnam hui,  Daikh rutba deeda e baidar ka,  Ae "wali" ho na srijaan par nisar,  Mudda'a hai chashm e go har bar ka. 

Us ko hasil kyo'n ke hoye jag may faragh e zindgi,

Us ko hasil kyo'n ke hoye jag may faragh e zindgi,  Gardash e iflak hai jis ko'n ayag e zindgi,  Ai azizan sair e gulshan hai gul e dagh e aalam,  Sohabat e ahbab hai mani may bagh e zindgi, Lab hai'n tere filhaqiqat chashma e aab e hayat,  Khizr e Khat ne us so'n paya hai suragh e zindgi,  Jab so'n dekha nain nazar bhar kakul e mushkin e yar,  Tab so'n jio'n sambhle pareshan hai dimagh e zindgi,  Asma'n meri nazar may kuba e tareek hai,  Gar na daikhoo'n tujhko'n ae chashm o chiragh e zindgi,  Lala e khuni'n kaffi'n ke haal so'n zahir hua,  Bastgi hai khal so'n Khuba'n ke dagh e zindgi,  Kyo'n na howe ae "Wali" roshan shab e qadar e hayat,  Hai nigah e garam e gul rua'n chirag e zindgi. 

Kiya mujhe ishq ne zalim ko'n ab ahista ahista,

Kiya mujhe ishq ne zalim ko'n ab ahista ahista, Ke aatish gul ko karti hai gulab ahista ahista,  Wafadari ne dilbar ki bujhaya aatish e gham ko'n, Ke garmi dafa karta hai gulab ahista ahista,  Ajab kuchh lutf rakhta hai shab e khilwat may gulroo so'n, Khitab ahista ahista jawab ahista ahista,  Mere dil ko'n kiya bekhud teri ankhiya'n ne akhir ko'n, Ke jiyo'n behosh karti hai sharab ahista ahista,  Hua tujh ishq so'n ai atishinru dil mera pani, Ke jiyo'n galta hai atish so'n gulab ahista ahista,  Adaa o naz so'n aata hai wo roshan jabee'n ghar so'n, Ki jiyo'n mashriq se nikle aftab ahista ahista,  "wali" mujh dil may aata hai khayal e yar e beparwah, Ke jiyo'n ankhya'n may aata hai khwab ahista ahista. 

Jise ishq ka teer kaari lage,

Jise ishq ka teer kaari lage,  Use zindgi kyu'n na bhari lage,  Na chhore mohabbat dam e marg lage,  Jise yar jani so yari lage,  Na hoye use jag may hargiz qarar,  Jise ishq ki beqrari lage,  Har ek waqt mujh ashiq e pak ko'n,  Pyare teri baat pyari lage,  "wali" kon kahe tu agar ek bacha'n,  Raqiba'n ke dil may katari lage. 

huyi hai zard si dekho zameeN miri hi tarha

huyi hai zard si dekho zameeN miri hi tarha zara si KHushk hai, banjar naheeN miri hi tarha naseem-e-subha ke jhauNkoN meN jhoomta bargad yeh keh raha hai "kaho aafreeN miri hi tarha" ise bhi apne darooN ka kabhi to gyaan mile yeh sho'la ho agar aayeena beeN miri hi tarha bhaNvar meN Doob na jaao kaheeN gumaanoN ke gaye jo tum soo-e-behr-e-yaqeeN, miri hi tarha ise bhi shaam ne aaNchal meN apne DhaaNp liya yeh din bhi dekho hua ahmareeN miri hi tarha ufaq bhi raat ke aane ke KHauf se Yawar paTaKH raha hai zameeN par jabeeN miri hi tarha

bojh

yeh maiN hooN paataal meN gaRa hooN voh tu hai har dam falak ki jaanab ravaaN davaaN hai yeh maiN hooN jis ne tujhe nikhara tujhe saNvaara tire liye sab nasheeli raatoN ki neeNd chhoRi tire liye saare KHuaab chhoRe voh KHuaab jin meN hazaar kirnoN ki raushni thi bahaar jin meN rachi basi thi yeh meri aaNkheN yeh zard aaNkheN yeh aaNkheN jin meN hazaar raatoN ki teergi hai yeh maiN hooN tere azeem daulat sara ko apne maheen kandhoN pe jaane kab se liye khaRa hooN yeh maiN jo paataal meN gaRa hooN

qadGHan lagi hai soch pe aur lab sile huay

qadGHan lagi hai soch pe aur lab sile huay aur chaak tak qafas ke mire sab sile huay nikla hooN kitne zo'm se duniya ke saamne pehne huay yeh cheethRe be Dhab sile huay sadiyoN ki ghaaTiyoN meN yeh lamhoN ki mash'aleN gehre falak pe jugnu se kokab sile huay mushkil kahaaN hai mere savaaloN ko boojhna saada haiN in huroof meN matlab sile huay aaNkhoN meN surKH DoriyaN umroN se saath theeN is dil ke zaKHm phir bhi rahe kab sile huay jooN jooN chaman meN surKHi piroti gayi bahaar khulte gaye haiN ghaao mire sab sile huay aisa bayaaN ka zor kiya tha agar ata kyooN hoNT de diye mujhe yaa rab sile huay

KHud qalam ban ke, TooT kar likkhi

KHud qalam ban ke, TooT kar likkhi aik hi nazm umr bhar likkhi us ne qismat meN kab sahar likkhi likh bhi di gar, to muKHtasar likkhi likkhi taqdeer meri be aeraab aur nuqte bhi chhoR kar likkhi mere qirtaas-e-umr par us ne har kaThin rah safar safar likkhi kya vo maaneN ge daastaaN teri? doosre ruKH se maiN ne gar likkhi? dekhna to kiran ne sooraj ki behte paani pe kya KHabar likkhi musHaf-s-shab pe aik din Yawar paRh hi looN ga kaheeN sahar likkhi

be par tha jism aur tha paikar lahoo lahoo

be par tha jism aur tha paikar lahoo lahoo pinjre meiN ik aseer ka tha sar lahoo lahoo darpan hi mere aage naheeN TooTte rahay hota raha hooN maiN bhi baraabar lahoo lahoo pehle KHizaaN ke waar ne ghaayal mujhe kiya phir aayi mujh ko dekhne sar sar lahoo lahoo kya ahmereeN si shaam thi apne vidaa ki  lagne lage the saare hi manzar lahoo lahoo shab bhar jo teergi se laRaa tha pas-e-falak aaya ufaq pe lauT ke ho kar lahoo lahoo dekho kinaar-e-shaam shafaq ki ye surKHiyaaN hone laga hai jin se samandar lahoo lahoo aa aa ke lauTti rahi ik yaad raat bhar chipki huyi haiN dastakeiN dar par lahoo lahoo

umr-e-udaas sadiyoN se kya kaaTti rahi

umr-e-udaas sadiyoN se kya kaaTti rahi paihan safar safar se sivaa kaaTti rahi meri baseerateiN to miray dil meiN theeN nihaaN ashkoN ki dhaar! tu bhi ye kya kaaTti rahi izhaar ke junooN ne na jeene diya mujhe ik phaaNs thi alag jo galaa kaaTti rahi aate huye zamaanoN se jab guftugu huyi meri har aik baat hava kaaTti rahi  aansui ne mere kitne gagan rang se bhare  ik booNd har kiran ka gala  kaaTti rahi sadiyoN se maiN na kaaT saka umr-e-naa tamaam ik pal ki umr mujh ko sada kaaTti rahi takmeel ki talab ne adhoora kiya mujhe likkha har aik shair miraa kaaTti rahi

Be basi

hawa chalti hai girte paat gehre paaniyoN meN naao ban kar jab kaheeN hijrat ko jate haiN shajar nohe sunaate haiN hava dheere se chalti hai sitaare TimTiimaate haiN kaheeN se cand ka partao kaheeN se raushni ki lau kabhi paani pe paRti hai to goya aasmaaN ki jhlmlati be badal tasveer banti hai magar jab bhi koyi patta hava meN uRte uRte paaniyoN meN gir ke apni aaKHri hijrat pe jaata haito saare aks bhi goya falak se gir ke ik dam TooT jaate haiNkinaare par khaRa jugnu udaasi se KHamoshi se ye sab kuchh dekhta jaata hai kar kuchh bhi naheeN sakta

din bhar ki shorishoN ke dabaao ke shor se

din bhar ki shorishoN ke dabaao ke shor se shab ke libaas-e-habs meN koyi shikan naheeN kyooN raushni garoN ki zubaaneN haiN soKHta kyooN lau kisi charaaGH ki bhi seena zan naheeN andhe KHalaa ki khaayi meN girtaa hi jaaooN maiN pairoN tale zameeN naheeN, sar par gagan naheeN ik naGHma KHaamushi ka bani jaaye zindagi ik raqs hai keh jis meN koyi chhan chhanan naheeN Yawar hi ik hai aajiz-o-naa cheez-o- KHaaksaar varna yahaaN pe kaun KHudaaye suKHan naheeN

jo ek jism the dekho, kahaaN kahaaN bhaTke

jo ek jism the dekho, kahaaN kahaaN bhaTke sitaaro TooT ke har or naa gahaaN bhaTke sabaat apna tazabzab pe hi rahaa qaayam yaqeeN kaheeN ko gaye aur kaheeN gumaaN bhaTke miri uRaan ki aujeN theeN maavaraa-e-hayaat talaash meN miri kitne hi aasmaaN bhaTke na mil saki unheN pehchaan KHud parasti meN jo apni khoj meN nikle, kahaaN kahaaN bhaTke na raas aayi kabhi us ko dasht paimaayi to kyooN na shehr meN aavaara-e-jahaaN bhaTke chale ho lambe safar par, nazar utarvaao mileN na raah meN tum ko kaheeN sagaaN bhaTke qateel-e-hasrat-e-takmeel-efan hooN, aur Yawar mir KHayaal haiN gum, aur mira bayaaN bhaTke

utaar phaiNka jo maiN na anaa ka, aan ka wazn

utaar phaiNka jo maiN na anaa ka, aan ka wazn utar gayaa mire kandhoN se do jahaan ka wazn bohot hai saql-e-zameeN aur mere par naazuk saNbhaal paayeN ge kaise miri uRaan ka wazn guzaari umr yuNhi shak ki dhool meN dab kar panap na paaya yaqeeN, itna tha gumaan ka wazn maiN aaj hooN zad-e-toofaaN, ghira hooN beech bhaNvar aur us pe tauRe miri kashti, baadbaan ka wazn ghuTan se kaise na barseN zameen par baadal uThaaye baiThe haiN itna jo aasmaan ka wazn yeh dekho konoN se kuchh ghaas aa gayi baahar namood-e-zindagi roke ga kya chaTaan ka wazn uThaao dil se uThaao, kabhi jiyo khul kar naheeN kuchh aisa bhi bekaar jism-o-jaan ka wazn shikaar shaer ke panchhi ka kya karooN yawar keh mere teer se kam hai miri kamaan ka wazn

vehm ki kaali ghaTa nazroN se haTti hi naheeN

vehm ki kaali ghaTa nazroN se haTti hi naheeN dhund aisi dil pe chhaayi hai keh chhaTti hi naheeN aaNkh bhar hi aasmaaN hai dil ki dunia ka magar itnio vus'at hai keh nazroN meN simaTti hi naheeN hai dil-e-aabid ki har uThti sada meN intishaar jaaye gunbad meN nazar ke to palaTti hi naheeN subha ke har dar se ayydar yaas ka lipTa mile raat is maar-e-siyah ke saath kaTti hi naheeN maiN luRhakta hi chalooN kaun-o-makaaN ki khaayi meN aisi gardish shash jihat ki hai keh ghaTti hi naheeN maiN hooN yawar apni fitrat meN ujaaloN ka safeer dhool mujh se dasht-e-zulmat ki lipaTti hi naheeN

Maut ki tejarat ko zindagi nahii kahte

Maut ki tejarat ko zindagi nahii kahte aadmi ke dushman ko aadmi nahii kahte hai hayat ik shorishe manzil aafreeni ki aati jaati saanso ko zindagi nahi kahte masredahe musarrat kyo'n aap leke aaye hain kap kapi ko honto'n ki hansi nahii kahte kaif paa nahi sakte zikre subahe raushan se aap tergi ko bhi tergi nahi kahte aap ka karam hoga raaste se hat jaana karwaan farebi ko rahbari nahii kahte hasrate satayish mei'n khud satayee karte ho apna haale, ahsaase kamtari nahii kahte chashme lutf ka in kii ' dil fareb kyo'n khata iltafaate dushman ko dosti nahii kahte

Jalte rahna kaam hai dilka, bujh jaane se haasil kya

Jalte rahna kaam hai dilka, bujh jaane se haasil kya apni aag ke indhan hai'n ham, indhan ka mustaqbil kya bolo naqooshe kuchh bolo, tum to shayed sunte ho bhaag rahi hai raahe guzar ke kaan mei'n khaker manzil kya doobne walo dekhrahe ho tum to kishty ke takhte dekho dekho ghaur se dekho daurh raha hai sahil kya anpadh aandhi ghus parhti hai, torh ke phatak mahlo'n '' ander aana mana hai'' likh ker latkaane se haasil kya qatle waqaare ishq ka mujrim jahle hawas kaaraa'n hii nahii  nange is hamam mei'n sab hai'n aalim kya aur jaahil kya perwaane ne ab apni apni aago mei'n jalte rahte hai'n sholo'n ke batwaare se thaa maqsade shamae mahfil kya too'ti dhanak ke tukrhe lekar badal rote phirte hai'n khaincha taani mei'n rango'n ki suraj bhii hai shamil kya

Naa jaane kah gaye kya aap muskurane mei'n

Naa jaane kah gaye kya aap muskurane mei'n hai dil ko naaz ke jaan aagayii fasane mei'n na aasaki koii shay teri yaad per ghalib tujhi se loonga madad ab tujhe bhulane mei'n na jaane banti hai sajdo'n ki daastaa'n kyo'nkar kashish jabee'n mei'n hai yaa tere aasatane mei'n khabar bhi hai tujhe, kis kis nazar ki betaabi kui hai sarf tabassum tera banaane mei'n hai bhool jaane ki koshish bhi yaad ka ek naam mai kamyab kaha'n hoo'n tujhe bhulane mei'n tere hii zauq karam ke yeh kaam aayengi adaae'n sarf na kar mere aazmaane mei'n  khazaa'n se mangoonga ab daaghedil ki shadabi bahare baagh to hai mahoo gul khilaane mei'n maaf kar kabhi 'Perwez' ko na ae ghame dost kero diya yeh aksar ghazal sunane mei'n

Pyari Maa

Maa tere baad

Azeem Maa

Maa

Maa ke Naam

Aaj jo bhi hoon

Ishq ka aijaz sajdon mein rakhta hoon main

Ishq ka aijaz sajdon mein rakhta hoon main Naqsh-e-pa hota hai peshani jahan rakhta hoon main Meri nazron ka tassaduq hai yeh husn-e-dilfareb Apni nazron mein jamaal-e-do jahaan rakhta hoor main Ek nasheman phoonk kar aaye barq kyun masroor hai Ek tassavur mein bhi apne aashiyan rakhta hoon main Ek muddat hamnavai charkh ke taaron ne ki Ab to zarron ko shareek-e-dastaan rakhta hoon main Fazl-egul aati hai aane de guzar jaane bhi de Dast-e-vahshat sabr kar damaan kaha rakhta hoon main Bezabaani par koi laillah koi meri daad de Kuch nahi kehta aur munh mein zabaan rakhta hoon main Mere zauq-e-bandagi par husn-e-tameeri nisar Ek sajde mein banaye do jahan rakhta hoon main

Un ko but samjha tha un ko khuda samjha tha main

Un ko but samjha tha un ko khuda samjha tha main Haan bata de ae jabeen-e-shauq kya saamjha tha main Allah-Allah kya inayat kar gayi mizrab-e-ishq Varna saaz-e-zindagi ko besada samjha tha main Un se shikva kyon karun un se shikayat kyun karun Khud badi mushkil se apna mudda samjha tha main Meri halat dekhiye mera tadapna dekhiye Aap ko is se gharz kya hai ke kya samjha tha main Khul gaya yeh raaz un aankhon ke ashk-e-naaz se Kaifiyat-e-husn ko gham se juda samjha tha main Ae jabeen-e-shauq haan tujh ko badi zahmat hui Aaj har zarrah ko inka naqsh-e-pa samjha tha main Ek nazar par munhasir thi zeesht ki kal kainaat Har nazar ko jaan jaan-e-mudda samjha tha main Aap to har har qadam kar ho rahe hain jalwah gar Aap ko hadad-e-nazar se mavra samjha tha main Yeh fughaan, yeh shaor, yeh naale, yeh shikve the fazul Kya bataati thi mohabbat aur kya samjha tha main Us nigaah-e-naaz ne Behzad mujh ko kho diya Jis nigaah-e-naaz ko apni dava samjha tha main

ab hai khushii khushii me.n na gham hai malal me.n

ab hai khushii khushii me.n na gham hai malal me.n duniyaa se kho giyaa huu.n tumhare khayaal me.n mujh ko na aapna hosh na duniyaa ka hosh hai bhethaa huu.n must ho ke tumhare khayaal me.n taaro.n se puuchh lo meri rodad-e-zi.ndagii raato.n ko jaagtaa huu.n tumhare khayaal me.n duniyaa ko ilmm kiyaa hai zamaa.ne ko kiyaa khabar duniyaa bhulaa chukaa huu.n tumhare khayaal me.n duniyaa ka.dhii hai mu.ntaazir-e-naghme-e-almm Behzad chup kha.dhe hai.n kisi ke khayaal me.n

Ghazal numa

Ajeeb aadmi tha ,dil me’n chupke se utar gaya,  Na jaane phir kidhar gaya. Wo khwab khwab chehra motiyo’n saa paroya tha, Bikharna tha bikhar gaya.  Na raat me’n wo khwab the na khwab me’n wo mah washi’n  Khumar jab utar gaya ! Hame’n to us hasi’n pe aetebar tha magar use,  Mukarna tha mukar gaya . Adawato’n ke rang  ka kuchh apna hi waqar tha  Zamana woh guzar gaya!

Ghazal numa

Tumhari gali hai nishana hamara , Thikana hamara. Tera husn to do dino’n ke liye hai,  Zamana hamara. Yaqii’n hai mujhe, geet us ka bane ga,  Tarana hamara.  Tumhare hi talvo’n se ja ke mila hai,  Sarhana hamara. Tumhare badan me’n hi jakar chhupa hai , khzana hamara.

na jane kis ke esharon pe chal rahe hain log

na jane kis ke esharon pe chal rahe hain log badan ke khool se bahar nikal rahe hain log kahin na rat ke mathe pe roshni ki lakir  lebase khab abhi se badal rahe hain log  milen to aise ke apno'n ko sharam aajaae ajib rang ke sanche me dhal rahe hain log  gharo'n me barf ke rahte bhe khaof aata hai har aik simt hai suraj pighal rahe hain log  main haadso'n ke makano'n me qaid hoo'n shaid  mere makan se bahar kuchal rahe hain log

Yun na reh reh kar hamen tarasaiye

Yun na reh reh kar hamen tarasaiye aaiye, aa jaiye, aa jaiye phir wohi danista thokar khaiye phir meri aagosh mein gir jaiye meri duniya muntazir hai aap ke apni duniya chod kar aa jaiye ye hawa ‘sagar’ ye halki chandani jee mein aata hai yahin mar jaiye

hairat se tak raha hai jahan-e-vafa mujhe

hairat se tak raha hai jahan-e-vafa mujhe tum ne bana diya hai mohabbat mein kya mujhe har manzil-e-hayat se gum kar gaya mujhe mud mud ke rah mein wo tera dekhana mujhe kaif-e-khudi ne mauj ko kashti bana diya hosh-e-khuda hai ab na gam-e-nakhuda mujhe saqi bane huye hain wo ‘sagar’ shab-e-visal is waqt koi meri kasam dekhata mujhe

hadase kya kya tumhari berukhi se ho gaye

hadase kya kya tumhari berukhi se ho gaye sari duniya ki liye hum ajanabi se ho gaye gardish-e-dauran, zamane ki nazar, aankhon ki neend kitne dushman ek rasm-e-dosti se ho gaye kuch tumhari gesuon ki barahami ne kar diya kuch andhere mere ghar mein roshni se ho gaye yun to hum aagah the saiyad ki tadbir se hum asir-e-dam-e-gul apni khudi se ho gaye har qadam “sagar” nazar aane lagi hain manzilen marhale tay meri kuch aavaragi se ho gaye

kaafir gesuu vaalo.n kii raat basar yuu.N hotii hai

kaafir gesuu vaalo.n kii raat basar yuu.N hotii hai  husn hifaazat karataa hai aur javaanii sotii hai  mujh me.n tujh me.n farq nahii.n mujh me.n farq hai ye  tuu duniyaa par ha.Nsataa hai duniyaa mujh par ha.Nsatii hai  sabr-o-sukuu.N do dariyaa hai.n bharate bharate bharate hai.n  taskiin dil kii baarish hai hote hote hotii hai  jiine me.n kyaa raahat thii marane me.n takliif hai kyaa  tab duniyaa kyo.n ha.Nsatii thii ab duniyaa kyo.n rotii hai  dil ko to tashKhiish hu_ii chaaraagaro.n se puuchhuu.Ngaa  dil jab dhak-dhak karataa hai vo haalat kyaa hotii hai  raat ke aa.Nsuu ai 'Sagar' phuulo.n se bhar jaate hai.n  subah-e-chaman is paanii se kaliyo.n kaa muu.Nh dhotii hai 

HAM DONO JAB BHI ROOTHEY,

HAM DONO JAB BHI ROOTHEY, SAALO'N BAAD,YA LAMHO'N BAAD, AAN MILE PHIR IK DOOJE SE, FERAAGH SEENE KI CHOWKHAT PER, SAR RAKH KAR MAI'N BHOOL GAYEE, KHAFA HONE AAYEE THII US SE, AUR WOH BHI BAANHO'N MEI'N LE KAR, DHEERE DHEERE KAH DETA HAI, MERI TUM SE BAAT NAHI HAI.

( KABHI MOHABBAT NAHI KARE'NGE )

( KABHI MOHABBAT NAHI KARE'NGE ) NA DIL PE PAHRE BITHAAYE'NGE HAM, NA KHWAAB AANKHO'N SE NOCH LENGE, AGAR KISI NE HANS KE DEKHA TO HANS BHI DENGE, KISI KI SANGAT JO RAAS AAYEE TO CHAL PARHE'NGE, YEH KAB KAHA HAI..........? KE HAM BHAROSA NAHI KARENGE, WAFA KE MOTI SE DAAMANE DIL NAHI BHARENGE, KISI KE GHAM KO NAHI SUNENGE........! KISI BHI DUKH KO NAHI SAHENGE.......! MAGAR KYA HAI AB IRAADA...! HAI KHUD SE WAADA, KABHI MOHABBAT NAHI KARENGE.

ZINDAGI SE KAT GAYE AB KHUSH HO TUM,

ZINDAGI SE KAT GAYE AB KHUSH HO TUM, RAASTE SE HAT GAYE AB KHUSH HO TUM, YU'N HUE RUSWA TUMHARE PAYAAR MEI'N, APNE QAD SE GHAT GAYE AB KHUSH HO TUM, RAAYEGAA'N LAMBI MUSAAFAT KE TUFAIL, RANJ O GHAM SE AT GAYE AB KHUSH HO TUM, KAISI WAFA,KAISA BHARAM,KAISA KHULOOS ! SAARE PARDE HAT GAYE AB KHUSH HO TUM, MERE CHAARO'N SIMT PACHHTAWO'N KE NAAG, PHAN UTHAA KAE DAT GAYE AB KHUSH HO TUM.
AAJ PHIR MAI'N NE KOI HUKM NA MANA USKA, PARH GAYA KHATRE MEI'N,ANDAZ SHAHANA USKA, WOH MERE DIL SE,NIKALNE KI SAYII KARTA HAI, KAISE SAMJHAOO'N,YEH HI TO HAI THIKANA USKA, KUCHH MASAEL THEY MERE KAL USE BATLAYE THEY, QABILE FAHM HI HAI, AAJ NA AANA USKA, JO FAQAT SHAYARI AAZA KI KIYA KARTI HAI, MAI'N NE DEKHA HAI KE AALAM HAI DIWANA USKA, AAJ PHIR YAADO'N NE BACHCHO'N KI TARAH SHOR KIYA, AAJ PHIR JAAG UTHA, DARD PURANA USKA.
PHOOLO'N SE ATA KALIYO'N KI BARSAT KA KAMRA, TUM AAO TO MAHKE BHI BARSAT KA KAMRA, SAHMI HUI HARNI KI TARAH THUBKI HUI HOO'N, IK BHERHIA DHOO'NDE HAI MERI ZAAT KA KAMRA, JAB CHAAHOO'N RAHTI HOO'N TERE SAATH WAHA'N PAR, HAI MERE TASARRUF MEI'N KHAYALAAT KA KAMRA, MUJH PER BHI KOI ABRE HASII'N BARSE TO KAISE, BAA'NHO'N MEI'N NEHAA'N RAKHTA HAI HAALAT KA KAMRA, AA'NKHE'N HAI'N DHOOL, DHOOL TO CHEHRA GHUBAAR HAI, TORHAA YU'N HASRATO'N NE HAI JAZBAAT KA KAMRA.
KHWABO'N KI KURCHIYO'N SE RANGIIN HO GAYI'N, RONE SE AA'NKHE'N AUR BHI HASEEN HO GAYII'N, CHAAHAT KE KHWAB DEKHNE KI UMR AAII TO, NEENDE'N HAMARI KIS LIYE SHAAHEEN HO GAYII'N, US NE CHHUAA TO SAANSO'N MEI'N KOHRAAM MACH GAYA, ZARRA SI KHWAHISHE'N THII JO PERWEEN HO GAYI'N, TUM RUK GAYE TO ZULFO'N NE SAAYE BICHHA DIYE, TUM CHAL DIYE TO PALKE'N BHI QAALEEN HO GAYII'N, DEKHA JO TUMNE PARH GAYE HAI'N ZINDAGI MEI'N HAM, AA'NKHE'N TUMHAARI SOORAHE YAASEEN HO GAYI'N, URHTE HUE PARIND KO DEKHA TO SAZA MEI'N, AHLE QAFAS KI MUSHKILE'N SANGIIN HO GAYII'N.

WOH KAH RAHA HAI KE,TUM SHAD HO KE DIKHLAO,

WOH KAH RAHA HAI KE,TUM SHAD HO KE DIKHLAO, MERE BEGHAIR BHI, AABAD HO KE DIKHLAO, YEH KYA KE PYAAR MOHABBAT PER JII RAHE HO MIYA'N, KISI KE ISHQ MEI'N BARBAAD HO KE DIKHLAO, PHIR US KE BAAD TUMHE'N HAQ HAI HUKMARANI KA, DILO'N KE SHAHAR MEI'N,AABAD HO KE DIKHLAAO, CHHURHA LIYA HAI YEH DAAMAN ZAMANE BHAR SE MAGAR, KHAYALE YAAR SE, AAZAD HO KE DIKHLAAO, HUE JAWAAN TO, MAA BAAP KO BHULA BAITHE, BANE HO BAAP TO, AULAAD HO KE DIKHLAAO.

DIL USE PAANE KA JAB KOI NA HIILA DEKHE,

DIL USE PAANE KA JAB KOI NA HIILA DEKHE, BUJH KE RAH JAYE DUAO'N KA VASILA DEKHE, YEH MERI SO'NCH BHI SHAAHEEN HI KE JAISI HAI, RUKNA CHAHE BHI TO,OO'NCHA HI TIILA DEKHE, KIS NE DEKHA HAI MERI AA'NKH KA BHAR BHAR AANA, JO BHI DEKHE HAI WOHI ROOP SANJEELA DEKHE, WOH PHOOL JAISA INSAAN JAB BHI GHAR LAUTE, APNE ITRAAF KE MANZAR KO RETILA DEKHE, TOOT JAANE KI KASAK DHAYAN MEI'N RAHI WARNA, DIL NE CHAHA THA KOI KHWAAB NASHILA DEKHE, MERI KHWAHISH THI USE HARF HARF PARHNE KI, USE THAA SHAUQ MERA NASBO QABIILA DEKHE.

Unse rishta raha nahi'n baqi

Unse rishta raha nahi'n baqi  ZINDAGI MEIn MAZA NAHIn BAQI  sach se usko hai kis qadar nafrat  ghar mei'n ik aaina nahi'n baqi  Shakh par phool ki hifazat ko  koie kaNta raha nahi'n baqi  Usne qasid ko ik gulab diya  aur tau kuch kaha nahi'n baqi  Aehd e hazir ki bad naseebi haie  ishq ka falsafa nahi'n baqi  ANkho'n aNkho'n mei'n ho gayi'n bate'n  kuch bhi kehna raha nahi'n baqi  Dar ta'aaqub ka kyu'n ho phir KHURRAM  jab koie naqsh e paa nahi'n baqi 

har taraf neeza 'o' talwaar nazar aatee hai'n::::::

har taraf neeza 'o' talwaar nazar aatee hai'n::::::  phir se barbaadi ke aasaar nazar aatee hai'n:::::::  gardishee'n phir se hai'n tayyar ulajhne ke liyee:::::  phir saharee mujhe baikaar nazar aatee hai'n::::::::::  baat har roz siyasat ki yahaa'n hoti haie::::::  apne ghar bhi hume'n bazaar nazar atee hai'n::::  sab ki paishani pe tehreer hai'n halaat sabhi::::::::  sab ke chehree mujhe akhbaar nazar aatee hai'n::::::::  aaina jab se mere hath mei'n aayaa KHURRAM::::::  saaf saree mujhee kirdaar nazar aatee hai'n::::::: 

Farz karo hum ahl-e-wafaa hoN, farz karo diivaane hoN

Farz karo hum ahl-e-wafaa hoN, farz karo diivaane hoN Farz karo ye donoN baateN jhuTii hoN afsaane hoN Farz karo ye ji ki biptaa ji se jor ? sunaayi ho Farz karo abhi aur ho itni aadhi hum ne chhupaayi hoN Farz karo tumheN Khush karne ke dhuuNde hum ne bahaane hoN Farz karo ye nain tumhare sach-much ke maiKhaane hoN Farz karo ye rog ho jhuTaa jhuuTi peet hamaari ho Farz karo is peet ke rog meN saaNs bhi hum pe bhaari hoN Farz karo ye jog-bijog kaa hamne Dhong rachaayaa ho Farz karo bas yahi haqiiqat baqui sab kuch maayaa hoN