hawa chalti hai
girte paat gehre paaniyoN meN
naao ban kar jab kaheeN hijrat ko jate haiN
shajar nohe sunaate haiN
hava dheere se chalti hai
sitaare TimTiimaate haiN
kaheeN se cand ka partao
kaheeN se raushni ki lau
kabhi paani pe paRti hai
to goya aasmaaN ki jhlmlati be badal tasveer banti hai
magar jab bhi koyi patta hava meN uRte uRte
paaniyoN meN gir ke apni aaKHri hijrat pe jaata haito saare aks bhi goya falak se gir ke ik dam TooT jaate haiNkinaare par khaRa jugnu
udaasi se
KHamoshi se
ye sab kuchh dekhta jaata hai
kar kuchh bhi naheeN sakta