be par tha jism aur tha paikar lahoo lahoo
pinjre meiN ik aseer ka tha sar lahoo lahoo
darpan hi mere aage naheeN TooTte rahay
hota raha hooN maiN bhi baraabar lahoo lahoo
pehle KHizaaN ke waar ne ghaayal mujhe kiya
phir aayi mujh ko dekhne sar sar lahoo lahoo
kya ahmereeN si shaam thi apne vidaa ki
lagne lage the saare hi manzar lahoo lahoo
shab bhar jo teergi se laRaa tha pas-e-falak
aaya ufaq pe lauT ke ho kar lahoo lahoo
dekho kinaar-e-shaam shafaq ki ye surKHiyaaN
hone laga hai jin se samandar lahoo lahoo
aa aa ke lauTti rahi ik yaad raat bhar
chipki huyi haiN dastakeiN dar par lahoo lahoo