Skip to main content

Unse rishta raha nahi'n baqi


Unse rishta raha nahi'n baqi 
ZINDAGI MEIn MAZA NAHIn BAQI 

sach se usko hai kis qadar nafrat 
ghar mei'n ik aaina nahi'n baqi 

Shakh par phool ki hifazat ko 
koie kaNta raha nahi'n baqi 

Usne qasid ko ik gulab diya 
aur tau kuch kaha nahi'n baqi 


Aehd e hazir ki bad naseebi haie 
ishq ka falsafa nahi'n baqi 

ANkho'n aNkho'n mei'n ho gayi'n bate'n 
kuch bhi kehna raha nahi'n baqi 

Dar ta'aaqub ka kyu'n ho phir KHURRAM 
jab koie naqsh e paa nahi'n baqi 

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.