Skip to main content

kuchh duur hamaare saath chalo ham dil kii kahaanii kah de.nge,
samajhe na jise tum aa.Nkho.n se vo baat zubaanii kah de.nge,


jo pyaar kare.nge jaane.nge har baat hamaarii maane.nge,
jo Khud na jale ho.n ulfat me.n vo aag ko paanii kah de.nge,


jab pyaas javaa.N ho jaayegii ehasaas kii manzil paayegii,
Khaamosh rahe.nge aur tumhe.n ham apanii kahaanii kah de.nge,


is dil me.n zaraa tum baiTho to kuchh haal hamaaraa puuchho to,
ham saadaa dil hai.n 'Ashk' magar har baat puraanii kah de.nge.


Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.