qadGHan lagi hai soch pe aur lab sile huay
aur chaak tak qafas ke mire sab sile huay
nikla hooN kitne zo'm se duniya ke saamne
pehne huay yeh cheethRe be Dhab sile huay
sadiyoN ki ghaaTiyoN meN yeh lamhoN ki mash'aleN
gehre falak pe jugnu se kokab sile huay
mushkil kahaaN hai mere savaaloN ko boojhna
saada haiN in huroof meN matlab sile huay
aaNkhoN meN surKH DoriyaN umroN se saath theeN
is dil ke zaKHm phir bhi rahe kab sile huay
jooN jooN chaman meN surKHi piroti gayi bahaar
khulte gaye haiN ghaao mire sab sile huay
aisa bayaaN ka zor kiya tha agar ata
kyooN hoNT de diye mujhe yaa rab sile huay