Skip to main content

Dil kuuN gar martabaa ho darpan kaa,


Dil kuuN gar martabaa ho darpan kaa,
muft hai dekhnaa siriijan kaa,

ai zubaaN kar madad ki aaj sanam,
muntazir hai bayaan-e-roshan kaa,

hikmat-e-ishq Bu Ali suuN na puuchh,
nain vo qaanuuN shinaas is fan kaa,

aaiinaa tujh se ho ke ham-zaanuu,
Ghairat-afzaa hu’aa hai gulshan kaa,

amn meN tujh nigaah so haiN be-daar,
Khauf naiiN muflisoN ko rahzan kaa,

tuk “Wali” ki taraf nigaah karo,
subh suuN muntazir hai darshan kaa.

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.