Skip to main content

Ghazal numa


Ajeeb aadmi tha ,dil me’n chupke se utar gaya, 
Na jaane phir kidhar gaya.

Wo khwab khwab chehra motiyo’n saa paroya tha,
Bikharna tha bikhar gaya. 

Na raat me’n wo khwab the na khwab me’n wo mah washi’n 
Khumar jab utar gaya !

Hame’n to us hasi’n pe aetebar tha magar use, 
Mukarna tha mukar gaya .

Adawato’n ke rang  ka kuchh apna hi waqar tha 
Zamana woh guzar gaya!