huyi hai zard si dekho zameeN miri hi tarha
zara si KHushk hai, banjar naheeN miri hi tarha
naseem-e-subha ke jhauNkoN meN jhoomta bargad
yeh keh raha hai "kaho aafreeN miri hi tarha"
ise bhi apne darooN ka kabhi to gyaan mile
yeh sho'la ho agar aayeena beeN miri hi tarha
bhaNvar meN Doob na jaao kaheeN gumaanoN ke
gaye jo tum soo-e-behr-e-yaqeeN, miri hi tarha
ise bhi shaam ne aaNchal meN apne DhaaNp liya
yeh din bhi dekho hua ahmareeN miri hi tarha
ufaq bhi raat ke aane ke KHauf se Yawar
paTaKH raha hai zameeN par jabeeN miri hi tarha