Skip to main content

na jane kis ke esharon pe chal rahe hain log


na jane kis ke esharon pe chal rahe hain log
badan ke khool se bahar nikal rahe hain log

kahin na rat ke mathe pe roshni ki lakir 
lebase khab abhi se badal rahe hain log 

milen to aise ke apno'n ko sharam aajaae
ajib rang ke sanche me dhal rahe hain log 

gharo'n me barf ke rahte bhe khaof aata hai
har aik simt hai suraj pighal rahe hain log 

main haadso'n ke makano'n me qaid hoo'n shaid 
mere makan se bahar kuchal rahe hain log

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.