Naa jaane kah gaye kya aap muskurane mei'n
hai dil ko naaz ke jaan aagayii fasane mei'n
na aasaki koii shay teri yaad per ghalib
tujhi se loonga madad ab tujhe bhulane mei'n
na jaane banti hai sajdo'n ki daastaa'n kyo'nkar
kashish jabee'n mei'n hai yaa tere aasatane mei'n
khabar bhi hai tujhe, kis kis nazar ki betaabi
kui hai sarf tabassum tera banaane mei'n
hai bhool jaane ki koshish bhi yaad ka ek naam
mai kamyab kaha'n hoo'n tujhe bhulane mei'n
tere hii zauq karam ke yeh kaam aayengi
adaae'n sarf na kar mere aazmaane mei'n
khazaa'n se mangoonga ab daaghedil ki shadabi
bahare baagh to hai mahoo gul khilaane mei'n
maaf kar kabhi 'Perwez' ko na ae ghame dost
kero diya yeh aksar ghazal sunane mei'n