Skip to main content

Yaad karna har gharhi us yar ka,


Yaad karna har gharhi us yar ka, 
Hai wazeefa mujh dil e bimar ka, 

Arzu e chashma e kausar nahi, 
Tishna lab hoo'n sharbat e didar ka, 

Aaqbat kya howega maloom nahi, 
Dil hua hai mubtila dildar ka, 

Kya kahe tareef dil hai benazir, 
Harf harf us makhzan e israr ka, 

Gar hua hai talib e aazadgi, 
Band mat ho subba o zunnar ka, 

Masnad e gul manzil e shabnam hui, 
Daikh rutba deeda e baidar ka, 

Ae "wali" ho na srijaan par nisar, 
Mudda'a hai chashm e go har bar ka. 

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.