vehm ki kaali ghaTa nazroN se haTti hi naheeN
dhund aisi dil pe chhaayi hai keh chhaTti hi naheeN
aaNkh bhar hi aasmaaN hai dil ki dunia ka magar
itnio vus'at hai keh nazroN meN simaTti hi naheeN
hai dil-e-aabid ki har uThti sada meN intishaar
jaaye gunbad meN nazar ke to palaTti hi naheeN
subha ke har dar se ayydar yaas ka lipTa mile
raat is maar-e-siyah ke saath kaTti hi naheeN
maiN luRhakta hi chalooN kaun-o-makaaN ki khaayi meN
aisi gardish shash jihat ki hai keh ghaTti hi naheeN
maiN hooN yawar apni fitrat meN ujaaloN ka safeer
dhool mujh se dasht-e-zulmat ki lipaTti hi naheeN