umr-e-udaas sadiyoN se kya kaaTti rahi
paihan safar safar se sivaa kaaTti rahi
meri baseerateiN to miray dil meiN theeN nihaaN
ashkoN ki dhaar! tu bhi ye kya kaaTti rahi
izhaar ke junooN ne na jeene diya mujhe
ik phaaNs thi alag jo galaa kaaTti rahi
aate huye zamaanoN se jab guftugu huyi
meri har aik baat hava kaaTti rahi
aansui ne mere kitne gagan rang se bhare
ik booNd har kiran ka gala kaaTti rahi
sadiyoN se maiN na kaaT saka umr-e-naa tamaam
ik pal ki umr mujh ko sada kaaTti rahi
takmeel ki talab ne adhoora kiya mujhe
likkha har aik shair miraa kaaTti rahi