Kuuchaa-e-yaar ‘ain Kaasii hai,
jogii-e-dil vahaaN kaa baasii hai,
pii ke bairaag kii udaasii suuN,
dil pe mere sadaa udaasii hai,
zulf terii hai mauj Jamnaa kii,
til nazik uske jyuN sanaasii hai,
ye siyaah zulf tujh zanakhdaaN par,
naaginii jyuN kuNve pe pyaasii hai,
jis kii guftaar meN nahiiN hai mazaa,
suKhan uskaa ta’am-e-baasii hai,
ai “Wali” jo libaas tan pe rakhaa,
aashiqaaN ke nazik libaasii hai.