Maut ki tejarat ko zindagi nahii kahte
aadmi ke dushman ko aadmi nahii kahte
hai hayat ik shorishe manzil aafreeni ki
aati jaati saanso ko zindagi nahi kahte
masredahe musarrat kyo'n aap leke aaye hain
kap kapi ko honto'n ki hansi nahii kahte
kaif paa nahi sakte zikre subahe raushan se
aap tergi ko bhi tergi nahi kahte
aap ka karam hoga raaste se hat jaana
karwaan farebi ko rahbari nahii kahte
hasrate satayish mei'n khud satayee karte ho
apna haale, ahsaase kamtari nahii kahte
chashme lutf ka in kii ' dil fareb kyo'n khata
iltafaate dushman ko dosti nahii kahte