Skip to main content

Kiya mujhe ishq ne zalim ko'n ab ahista ahista,


Kiya mujhe ishq ne zalim ko'n ab ahista ahista,
Ke aatish gul ko karti hai gulab ahista ahista, 

Wafadari ne dilbar ki bujhaya aatish e gham ko'n,
Ke garmi dafa karta hai gulab ahista ahista, 

Ajab kuchh lutf rakhta hai shab e khilwat may gulroo so'n,
Khitab ahista ahista jawab ahista ahista, 

Mere dil ko'n kiya bekhud teri ankhiya'n ne akhir ko'n,
Ke jiyo'n behosh karti hai sharab ahista ahista, 

Hua tujh ishq so'n ai atishinru dil mera pani,
Ke jiyo'n galta hai atish so'n gulab ahista ahista, 

Adaa o naz so'n aata hai wo roshan jabee'n ghar so'n,
Ki jiyo'n mashriq se nikle aftab ahista ahista, 

"wali" mujh dil may aata hai khayal e yar e beparwah,
Ke jiyo'n ankhya'n may aata hai khwab ahista ahista. 

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng

Main hoon dar-e-abbas hai aur meri jabeen hai

HAZRAT ABBAS (A.S) Main hoon dar-e-abbas hai aur meri jabeen hai Sab kehne ki baataian hai falaq hai na zameen hai Main hoon dar-e-abbas hai aur meri jabeen hain Zakhmi hai magar kerbala kitni haseen hai Jannat kahian duniya mein agar hai to yahian hai Main hoon dar-e-abbas hai aur meri jabeen hai Utna he yaqeen hai teri imdad ka muj ko Jitna mujy zehra ki duaoon ka yaqeen Main hoon dar-e-abbas hai aur meri jabeen hai Kyon medhat-e-abbas mein luqnat hai zaban ko Daikhoo kahian mehfil mein sakina to nahian hai Main hoon dar-e-abbas hai aur meri jabeen hai Kab maskh chedi yaad hai abbas ko lakin Kab kat gae shaane ye unhian yaad nahian hai Main hoon dar-e-abbas hai aur meri jabeen hai Humrah-e-imam ayain gian abbas bhi aik din Is baat ka her toote hue dil ko yaqeen hai Main hoon dar-e-abbas hai aur meri jabeen Zakhmi hai magar kerbala kitni haseen hai Jannat kahian duniya mein agar hai to yahian hai