Skip to main content

din bhar ki shorishoN ke dabaao ke shor se


din bhar ki shorishoN ke dabaao ke shor se
shab ke libaas-e-habs meN koyi shikan naheeN

kyooN raushni garoN ki zubaaneN haiN soKHta
kyooN lau kisi charaaGH ki bhi seena zan naheeN

andhe KHalaa ki khaayi meN girtaa hi jaaooN maiN
pairoN tale zameeN naheeN, sar par gagan naheeN

ik naGHma KHaamushi ka bani jaaye zindagi
ik raqs hai keh jis meN koyi chhan chhanan naheeN

Yawar hi ik hai aajiz-o-naa cheez-o- KHaaksaar
varna yahaaN pe kaun KHudaaye suKHan naheeN

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng