Skip to main content

KHud qalam ban ke, TooT kar likkhi


KHud qalam ban ke, TooT kar likkhi
aik hi nazm umr bhar likkhi

us ne qismat meN kab sahar likkhi
likh bhi di gar, to muKHtasar likkhi

likkhi taqdeer meri be aeraab
aur nuqte bhi chhoR kar likkhi

mere qirtaas-e-umr par us ne
har kaThin rah safar safar likkhi

kya vo maaneN ge daastaaN teri?
doosre ruKH se maiN ne gar likkhi?

dekhna to kiran ne sooraj ki
behte paani pe kya KHabar likkhi

musHaf-s-shab pe aik din Yawar
paRh hi looN ga kaheeN sahar likkhi

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.