Lub per naam kisi ka ho, dil meN tera naqsha hai
Aay tasweer bananey wali, jab sey tujh ko dekha hai
Be tere kya wahshat hum ko, tujh bin kaisa sabR-o sukooN
Tu hi apna sheher hai jaani, tu hi apna sehra hai
Neeley perbat, oodhi dharti, charoo.b koot main tu hi tu
Tujh sey apney jee ki khalwat, tujh sey mun ka maila hai
Aaj tu hum bikne ko aay, aaj humarey daam laga
Yousuf tu bazaar-e wafa main, aik tikey ko bikta hai
Lay jaani ab apne mun k pairahan ki girhaiN khol
Lay jaani ab aadhi shab hay, charoo.n taraf sanata hai
TufaaN ki baat nahi hay, tofaaN aate jaate rehte hain
Tu ek narm hawa ka jhonka, dil k baagh main tehra hai
Ya tu aaj humai.n apna lay, ya tu aaj humara ban
Dekh k waqt guzarta jaa, koun abad tak jeeta hai
Firda mehez fasoo.n ka parda, hum tu aaj k bandey hain
Hij’r-o wasl,wafa aur dhoka sab kuch aa j pe rakhta hai