Un ko but samjha tha un ko khuda samjha tha main
Haan bata de ae jabeen-e-shauq kya saamjha tha main
Allah-Allah kya inayat kar gayi mizrab-e-ishq
Varna saaz-e-zindagi ko besada samjha tha main
Un se shikva kyon karun un se shikayat kyun karun
Khud badi mushkil se apna mudda samjha tha main
Meri halat dekhiye mera tadapna dekhiye
Aap ko is se gharz kya hai ke kya samjha tha main
Khul gaya yeh raaz un aankhon ke ashk-e-naaz se
Kaifiyat-e-husn ko gham se juda samjha tha main
Ae jabeen-e-shauq haan tujh ko badi zahmat hui
Aaj har zarrah ko inka naqsh-e-pa samjha tha main
Ek nazar par munhasir thi zeesht ki kal kainaat
Har nazar ko jaan jaan-e-mudda samjha tha main
Aap to har har qadam kar ho rahe hain jalwah gar
Aap ko hadad-e-nazar se mavra samjha tha main
Yeh fughaan, yeh shaor, yeh naale, yeh shikve the fazul
Kya bataati thi mohabbat aur kya samjha tha main
Us nigaah-e-naaz ne Behzad mujh ko kho diya
Jis nigaah-e-naaz ko apni dava samjha tha main