Skip to main content

Jalte rahna kaam hai dilka, bujh jaane se haasil kya


Jalte rahna kaam hai dilka, bujh jaane se haasil kya
apni aag ke indhan hai'n ham, indhan ka mustaqbil kya

bolo naqooshe kuchh bolo, tum to shayed sunte ho
bhaag rahi hai raahe guzar ke kaan mei'n khaker manzil kya

doobne walo dekhrahe ho tum to kishty ke takhte
dekho dekho ghaur se dekho daurh raha hai sahil kya

anpadh aandhi ghus parhti hai, torh ke phatak mahlo'n
'' ander aana mana hai'' likh ker latkaane se haasil kya

qatle waqaare ishq ka mujrim jahle hawas kaaraa'n hii nahii 
nange is hamam mei'n sab hai'n aalim kya aur jaahil kya

perwaane ne ab apni apni aago mei'n jalte rahte hai'n
sholo'n ke batwaare se thaa maqsade shamae mahfil kya

too'ti dhanak ke tukrhe lekar badal rote phirte hai'n
khaincha taani mei'n rango'n ki suraj bhii hai shamil kya

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.