Skip to main content

( KABHI MOHABBAT NAHI KARE'NGE )


( KABHI MOHABBAT NAHI KARE'NGE )
NA DIL PE PAHRE BITHAAYE'NGE HAM,
NA KHWAAB AANKHO'N SE NOCH LENGE,
AGAR KISI NE HANS KE DEKHA TO HANS BHI DENGE,
KISI KI SANGAT JO RAAS AAYEE TO CHAL PARHE'NGE,
YEH KAB KAHA HAI..........?
KE HAM BHAROSA NAHI KARENGE,
WAFA KE MOTI SE DAAMANE DIL NAHI BHARENGE,
KISI KE GHAM KO NAHI SUNENGE........!
KISI BHI DUKH KO NAHI SAHENGE.......!
MAGAR KYA HAI AB IRAADA...! HAI KHUD SE WAADA,
KABHI MOHABBAT NAHI KARENGE.

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.