har taraf neeza 'o' talwaar nazar aatee hai'n::::::


har taraf neeza 'o' talwaar nazar aatee hai'n:::::: 
phir se barbaadi ke aasaar nazar aatee hai'n::::::: 

gardishee'n phir se hai'n tayyar ulajhne ke liyee::::: 
phir saharee mujhe baikaar nazar aatee hai'n:::::::::: 

baat har roz siyasat ki yahaa'n hoti haie:::::: 
apne ghar bhi hume'n bazaar nazar atee hai'n:::: 

sab ki paishani pe tehreer hai'n halaat sabhi:::::::: 
sab ke chehree mujhe akhbaar nazar aatee hai'n:::::::: 

aaina jab se mere hath mei'n aayaa KHURRAM:::::: 
saaf saree mujhee kirdaar nazar aatee hai'n:::::::