Ishq ka aijaz sajdon mein rakhta hoon main
Naqsh-e-pa hota hai peshani jahan rakhta hoon main
Meri nazron ka tassaduq hai yeh husn-e-dilfareb
Apni nazron mein jamaal-e-do jahaan rakhta hoor main
Ek nasheman phoonk kar aaye barq kyun masroor hai
Ek tassavur mein bhi apne aashiyan rakhta hoon main
Ek muddat hamnavai charkh ke taaron ne ki
Ab to zarron ko shareek-e-dastaan rakhta hoon main
Fazl-egul aati hai aane de guzar jaane bhi de
Dast-e-vahshat sabr kar damaan kaha rakhta hoon main
Bezabaani par koi laillah koi meri daad de
Kuch nahi kehta aur munh mein zabaan rakhta hoon main
Mere zauq-e-bandagi par husn-e-tameeri nisar
Ek sajde mein banaye do jahan rakhta hoon main