utaar phaiNka jo maiN na anaa ka, aan ka wazn
utar gayaa mire kandhoN se do jahaan ka wazn
bohot hai saql-e-zameeN aur mere par naazuk
saNbhaal paayeN ge kaise miri uRaan ka wazn
guzaari umr yuNhi shak ki dhool meN dab kar
panap na paaya yaqeeN, itna tha gumaan ka wazn
maiN aaj hooN zad-e-toofaaN, ghira hooN beech bhaNvar
aur us pe tauRe miri kashti, baadbaan ka wazn
ghuTan se kaise na barseN zameen par baadal
uThaaye baiThe haiN itna jo aasmaan ka wazn
yeh dekho konoN se kuchh ghaas aa gayi baahar
namood-e-zindagi roke ga kya chaTaan ka wazn
uThaao dil se uThaao, kabhi jiyo khul kar
naheeN kuchh aisa bhi bekaar jism-o-jaan ka wazn
shikaar shaer ke panchhi ka kya karooN yawar
keh mere teer se kam hai miri kamaan ka wazn