Skip to main content

bojh


yeh maiN hooN
paataal meN gaRa hooN
voh tu hai
har dam falak ki jaanab ravaaN davaaN hai

yeh maiN hooN
jis ne tujhe nikhara
tujhe saNvaara
tire liye sab nasheeli raatoN ki neeNd chhoRi
tire liye saare KHuaab chhoRe
voh KHuaab jin meN
hazaar kirnoN ki raushni thi
bahaar jin meN rachi basi thi

yeh meri aaNkheN
yeh zard aaNkheN
yeh aaNkheN jin meN
hazaar raatoN ki teergi hai

yeh maiN hooN
tere azeem daulat sara ko apne
maheen kandhoN pe jaane kab se liye khaRa hooN
yeh maiN
jo paataal meN gaRa hooN

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.