Skip to main content

DIL USE PAANE KA JAB KOI NA HIILA DEKHE,


DIL USE PAANE KA JAB KOI NA HIILA DEKHE,
BUJH KE RAH JAYE DUAO'N KA VASILA DEKHE,

YEH MERI SO'NCH BHI SHAAHEEN HI KE JAISI HAI,
RUKNA CHAHE BHI TO,OO'NCHA HI TIILA DEKHE,

KIS NE DEKHA HAI MERI AA'NKH KA BHAR BHAR AANA,
JO BHI DEKHE HAI WOHI ROOP SANJEELA DEKHE,

WOH PHOOL JAISA INSAAN JAB BHI GHAR LAUTE,
APNE ITRAAF KE MANZAR KO RETILA DEKHE,

TOOT JAANE KI KASAK DHAYAN MEI'N RAHI WARNA,
DIL NE CHAHA THA KOI KHWAAB NASHILA DEKHE,

MERI KHWAHISH THI USE HARF HARF PARHNE KI,
USE THAA SHAUQ MERA NASBO QABIILA DEKHE.

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.