Skip to main content

ZINDAGI SE KAT GAYE AB KHUSH HO TUM,


ZINDAGI SE KAT GAYE AB KHUSH HO TUM,
RAASTE SE HAT GAYE AB KHUSH HO TUM,

YU'N HUE RUSWA TUMHARE PAYAAR MEI'N,
APNE QAD SE GHAT GAYE AB KHUSH HO TUM,

RAAYEGAA'N LAMBI MUSAAFAT KE TUFAIL,
RANJ O GHAM SE AT GAYE AB KHUSH HO TUM,

KAISI WAFA,KAISA BHARAM,KAISA KHULOOS !
SAARE PARDE HAT GAYE AB KHUSH HO TUM,

MERE CHAARO'N SIMT PACHHTAWO'N KE NAAG,
PHAN UTHAA KAE DAT GAYE AB KHUSH HO TUM.

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.