Skip to main content

jo ek jism the dekho, kahaaN kahaaN bhaTke


jo ek jism the dekho, kahaaN kahaaN bhaTke
sitaaro TooT ke har or naa gahaaN bhaTke

sabaat apna tazabzab pe hi rahaa qaayam
yaqeeN kaheeN ko gaye aur kaheeN gumaaN bhaTke

miri uRaan ki aujeN theeN maavaraa-e-hayaat
talaash meN miri kitne hi aasmaaN bhaTke

na mil saki unheN pehchaan KHud parasti meN
jo apni khoj meN nikle, kahaaN kahaaN bhaTke

na raas aayi kabhi us ko dasht paimaayi
to kyooN na shehr meN aavaara-e-jahaaN bhaTke

chale ho lambe safar par, nazar utarvaao
mileN na raah meN tum ko kaheeN sagaaN bhaTke

qateel-e-hasrat-e-takmeel-efan hooN, aur Yawar
mir KHayaal haiN gum, aur mira bayaaN bhaTke

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.