Tumne kaisa yeh raabta rakkha


Tumne kaisa yeh raabta rakkha
Na mile ho na faasla rakkha

Kitni rounaq hai perh par jab se
Aik chirhiya ne gho'nsla rakkha

Nahi'n chaha kisi ko tere sewa
Tune ham ko bhi paarsa rakkha

Phool khilte hi khul gayee aa'nkhe'n
Kisne khushbu me'n saneha rakkha

Tu na ruswa ho isliye hamne
Apni chahat pe daira rakhkha