Skip to main content

Posts

Showing posts from November, 2012

ab k barsat ki rut aur bhi bharkili hai

ab k barsat ki rut aur bhi bharkili hai jism se ag nikalti hai, qaba gili hai   sochta hun k ab anjam-e-safar kya hoga log bhi kanch k hain, rah bhi pathrili hai   shiddat-e-karb main to hansna karb hai mera hath hi sakht hain zanjir kahan dhili hai   gard ankhon main sahi dag to chehre pe nahi lafz dhundhale hain magar fikr to chamkili hai   ghol deta hai samaat main wo mitha lahja kis ko malum k ye qind bhi zahrili hai   pahle rag-rag se meri khun nichora us ne ab ye kahata hai k rangat hi meri pili hai   mujhko be-rang hi na karde kahin rang itne sabz mausam hai, hawa surkh, fiza nili hai   meri parwaz kisi ko nahi bhati to na bhaye kya karun zehan "Muzaffar" mera jibraili ha

dil dharakne ka sabab yad aya

  dil dharakne ka sabab yad aya wo teri yad thi ab yad aya   aj mushkil tha sambhalna ai dost tu musibat main ajab yad aya   din guzra tha bari mushkil se phir tera wada-e-shab yad aya   tera bhula hua paiman-e-wafa mar rahenge agar ab yad aya   phir kai log nazar se guzre phir koi shahar-e-tarab yad aya   hal-e-dil ham bhi sunate lekin jab wo rukhsat hue tab yad aya   baith kar saya-e-gul main 'Nasir' ham bahut roye wo jab yad aya

dayar-e-dil ki rat main chirag sa jala gaya

dayar-e-dil ki rat main chirag sa jala gaya mila nahi to kya hua wo shaql to dikha gaya   judaion k zakhm dard-e-zindagi ne bhar diye tujhe bhi nind a gai mujhe bhi sabr a gaya   ye subah ki safediyan ye dopahar ki zardiyan ab aine main dekhta hun main kahan chala gaya   pukarti hain fursaten kahan gai wo sohbaten zamin nigal gai unhen ya asman kha gaya   wo dosti to khair ab nasib-e-dushmanan hui wo choti choti ranjishon ka lutf bhi chala gaya   ye kis khushi ki ret par gamon ko nind a gai wo lahar kis taraf gai ye main kahan sama gaya   gaye dinon ki lash par pare rahoge kab talak utho amalkasho utho k afatab sar pe a gaya

araish-e-khayal bhi ho dilkusha bhi ho

araish-e-khayal bhi ho dilkusha bhi ho wo dard ab kahan jise ji chahta bhi ho   ye kya k roz ek sa gam ek si ummid is ranj-e-bekhumar ki ab inteha bhi ho   ye kya k ek taur se guzre tamam umr ji chahta hai ab koi tere siwa bhi ho   tute kabhi to khwab-e-shab-o-roz ka tilism itne hujum main koi chehra naya bhi ho   diwangi-e-shauq ko ye dhun hai in dinon ghar bhi ho aur be-dar-o-diwar sa bhi ho   juz dil koi makan nahi dahar main jahan rahzan ka khauf bhi na rahe dar khula bhi ho   har zarra ek mahmil-e-ibrat hai dasht ka lekin kise dikhaun koi dekhta bhi ho   har shay pukarti hai pas-e-parda-e-sukut lekin kise sunaun koi hamnawa bhi ho   fursat main sun shaguftagi-e-guncha ki sada ye ...

apni dhun main rahta hun

apni dhun main rahta hun main bhi tere jaisa hun o pichli rut k sathi ab k baras main tanha hun teri gali main sara din dukh k kankar chunta hun mujh se ankh milaye kaun main tera aina hun mera diya jalaye kaun main tera khali kamra hun tu jiwan ki bhari gali main jangal ka rasta hun apni lahar hai apna rog dariya hun aur pyasa hun ati rut mujhe royegi jati rut ka jhonka hun

aj to be-sabab udas hai ji

aj to be-sabab udas hai ji ishq hota to koi bat bhi thi jalta phirta hun kyun do-pahron main jane kya chiz kho gai meri wahin phirta hun main bhi khak ba-sar is bhare shahar main hai ek gali chupta phirta hai ishq duniya se phailti ja rahi hai ruswai hamnashin kya kahun k wo kya hai chor ye bat nind urane lagi aj to wo bhi kuch khamosh sa tha main ne bhi us se koi bat na ki ek dam us k hath chum liye ye mujhe baithe baithe kya sujhi tu jo itna udas hai 'Nasir' tujhe kya ho gaya bata to sahi

bana gulab to kante chubha gaya ik shakhs

bana gulab to kante chubha gaya ik shakhs hua chirag to ghar hi jala gaya ik shakhs     tamam rang mere aur sare khwab mere fasana kah k fasana bana gaya ik shakhs     main kis hawa main urun kis faza main lahraun dukhon k jal har-su bicha gaya ik shakhs     palat sakun main na age barh sakun jis par mujhe ye kaun se raste laga gaya ik shakhs     muhabbaten bhi ajib us ki nafraten bhi kamal meri tarah ka hi mujh main sama gaya ik shakhs     wo mahtab tha marham-ba-dast aya tha magar kuch aur siwa dil dukha gaya ik shakhs     khula ye raz k aina-khana hai duniya aur is main mujh ko tamasha bana gaya ik shakhs

khayal-o-khwab hue hain muhabbaten kaisi

khayal-o-khwab hue hain muhabbaten kaisi lahu main nach rahin hain ye wahshaten kaisi     na shab ko chand hai acha na din ko mehar acha ye ham pe bit rahi hain qayamaten kaisi     azab jin ka tabassum sawab jin ki nigah khinchi hui hain pas-e-janan suraten kaisi     hawa k dosh pe rakhe hue charag hain ham jo bujh gaye to hawa se shikayaten kaisi     jo bekhabar koi guzra to sada ye di hai main sang-e-rah hun mujh par inayaten kaisi     jo a rahe so wo bhi ab sang-o-khisht lata hai faza ye ho to dilon ki nazakaten kaisi

kuch din to baso meri ankhon main

kuch din to baso meri ankhon main phir khwab agar ho jao to kya   koi rang to do mere chehre ko phir zakhm agar mahkao to kya   ik aina tha so tut gaya ab khud se agar sharmao to kya   main tanha tha main tanha hun tum ao to kya na ao to kya   jab ham hi na mahak phir sahib tum bad-e-saba kahlao to kya   jab dekhne wala koi nahin bujh jao to kya jal jao to kya

kuch ishq tha kuch majburi thi so main ne jiwan war diya

kuch ishq tha kuch majburi thi so main ne jiwan war diya main kaisa zinda admi tha ik shakhs ne mujh ko mar diya   ye saja sajaya ghar saqi meri zat nahin mera hal nahin ai kash kabhi tum jan sako jo us sukh ne azar diya   main khuli hui ik sachai mujhe janane wale jante hain main ne kin logon se nafrat ki aur kin logon se pyar kiya   wo ishq bahut mushkil tha magar asan na tha yun jina bhi us ishq ne zinda rahne ka mujhe zarf diya pindar diya   ik sabz shakh gulab ki tha ik duniya apne pyar ki tha wo ek bahar jo ai nahin us k liye sab kuch har diya   main rota hun aur asman se tare tutate dekhta hun un logon par jin logon ne mere logon ko azar diya   wo yar hon ya mahbub mere ya kabhi kabhi milne wale ik lazzat sab k milne main wo zakhm diya ya pyar di...

tere pyar main ruswa hokar jaye kahan diwane log

tere pyar main ruswa hokar jaye kahan diwane log jane kya kya puch rahen hain ye jane pahchane log     jaise tumhen hamne chaha tha kaun bhala yun chahega mana aur bahut ayenge tum se pyar jatane log     kaise dukhon k mausam aye kaisi ag lagi yaro ab saharaon se late hain phulon k nazrane log     kal matam beqimat hoga aj inki tauqir karo dekho khun-e-jigar se kya kya likhte hain afasane log     jante hain ye ishq musalsal rog hai ah-o-zari ka phir bhi us k kuche main jate hain umr gawane log

ata hai yad mujhko guzara hua zamana

ata hai yad mujhko guzara hua zamana wo bag ki baharen wo sab ka chah-chahana     azadiyan kahan wo ab apne ghonsale ki apni khushi se ana apni khushi se jana     lagti ho chot dil par, ata hai yad jis dam shabnam k anson par kaliyon ka muskurana     wo pyari pyari surat, wo kamini si murat abad jis k dam se tha mera ashiyana

ajab waiz ki din-dari hai ya rab

ajab waiz ki din-dari hai ya rab adawat hai ise sare jahan se   koi ab tak na ye samjha k insan kahan jata hai ata hai kahan se   wahin se rat ko zulmat mili hai chamak taron ne pai hai jahan se   ham apni dard-mandi ka fasana  suna karte hain apne razdan se   bari barik hain waiz ki chalen laraz jata hai awaz-e-azan se

khuda jaane mere nashib mein kya hai,

khuda jaane mere nashib mein kya hai, kyun har kadam pe imtahan le raha hai, aankho mein sapne hai,paas hoshla hai, aur mujh garib mein kya hai, kyun har dafa dil mera torta hai , kar ke tanha mehfilo mein chorta hai, kisi ki tashvir hai ,kisi ki yaadien hai aur ish dil mein kya hai kyun mere rakib se mohabbat ushe hai aziz rakib ki sohbat ushe hai ,phan hai bewafaai ka ,dil torne ka hunar hai, aur mere ush rakib mein kya hai.

Kehnay Ko Muhabbat hai lakin

Kehnay Ko Muhabbat hai lakin Ab esi muhabbat kia kerni… Jo neend chura le ankhon se Jo khawab dikha k pholon k Tabeer main kantay de jai Jo gham ke kali raaton se Her aas ka jugnu le jai Jo khawab sajati ankhon ko Aansu he aansu de jai Jo mushkil ker de jeenay ko Jo marnay ko asaan keray Woh dil jo Pyar ka mandir ho Wo yadoon ko mehman kare Ab Aisi Muhabbat kaya karni… Jo umer ki naqdi le jaey Aur phir bhi jholi khali ho Woh soorat DIL ka rog Baney Jo soorat dekhi bhaali ho Jo Qais bana de Insan ko Jo Ranjha Aur Farhad karay Ab Aisi Muhabbat kya karni..? Jo khushiyon ko Barbad kare Dekho to Muhabbat k Baray Har shakhs yahi kuch kehta hai Socho to Muhabbat k Ander Ik Dard humesha rehta hai Phir Bhi Jo cheez MUHABBAT hai Kab In baaton se Darti hai Kab in k baandhay rukti hai Jis DIL main iss ko Basna ho Yeh Chupkay say Bas jati hai AB AISI MUHABBAT KIA KARNI…???

kuchh tujh ko Khabar hai ham kyaa kyaa ai shorish-e-dauraa.N bhuul gaye

kuchh tujh ko Khabar hai ham kyaa kyaa ai shorish-e-dauraa.N bhuul gaye vo zulf-e-pareshaa.N bhuul gaye vo diidaa-e-giriiyaa bhuul gaye ai shauq-e-nazaaraa kyaa kahiye nazaro.n me.n ko_ii suurat hii nahii.n ai zauq-e-tasavvur kyaa kahiye ham suurat-e-jaanaa.N bhuul gaye ab gul se nazar milatii hii nahii.n ab dil kii kalii khilatii hii nahii.n ai fasl-e-bahaaraa.N ruKhasat ho ham lutf-e-bahaaraa.N bhuul gaye sab ko to madaavaa kar Daalaa apanaa hii madaavaa kar na sake sab ke girebaa.N sii Daale apanaa hii girebaa.N bhuul gaye ye apanii vafaa kaa aalaam hai ab un kii jafaa ko kyaa kahiye ek nashtar-e-zahar-e-aagaahii rakh kar nazdiik-e-rag-e-jaa.N bhuul gaye

Abhi Wo Dard Baki Hai

Abhi Wo Dard Baki Hai Ager-cha Waqt Marham Hai Mager Kuch Waqt Lagta Hai Kese Ko Bhool Janay Main Dobara Dil Basanay Main Abhi Kuch Waqt Lagna Hai Abhi Wo Dard Baki Hai Main Kesay Naii Ulfat Main Apni Zaat Ko Ghum Kar Doon Keh Meray Jisam wo Wajdaan Main Abhi Wo Fard Baki Hai Abhi Us Shaks Ke Mujh Per Negah -e- Sard Baki Hai Abhi Wo Eshq Kay Rastoon Ke Mujh Pay Gard Baki Hai Abhi Wo Dard Baki Hai !!!!

Teri Aankhon Si Aankhein

Teri Aankhon Si Aankhein Aaj Ik Chehray Pe Dekhi Hain Vohi Rangat, Banawat Aur Wesi Hi Be Rukhi Un Mein Bichartay Waqt Jo Main Ne Teri Aankhon Mein Dekhi Thi Teri Aankhon Si Aankhon Ne Mujhay Ik Pal Ko Dekha Tha Vo Pal Ik Aam Sa Pal Tha Magar Uss Aam Se Pal Mein Puranay Kitney Mousam,Kitney Manzar Main Ne Dekhy Thy Meri Jaan Main Samjha Tha Teri Aankhon Si Aankhein Jab Meri Aankhon Ko Dekhein Gi To Ik Lamhay Ko Sochein Gi k In Aankhon Ko Pehlay b Kisi Chehray Pe Dekha Hay Magar in Jheel Aankhon Mein Shanasayii Nahi Jaagi Meri Aankhein! Teri Aankhon Si Aankhon k Liye Kab Khas Aankhein Thin Teri Aankhon Ne Shayed Yeh Kayii Chehron Par Dekhi Hon k Yeh To Aam Aankhein Hain Main Aisa Soch Sakta Tha Magar Main Kya Karon Dil Ka Jo Ab Yeh Yaad Rakhay Ga Teri Aankhon Si Aankhein Main Ne Ik Chehray Pe Dekhi Thin Phir Uss k Baad Kitnay Din Meri Aankhon Mein Sawan Tha...!!!

" Teri talaash main "

Teri talaash main niklay thay hum haath maltay huay Rula diya aaj humain suraj ne dhaltay huay Utaar Zehan Ke Gaaron Main Roshni-e-Mabood Zamana Guzar gaya Seenon main dard Paltay Huay Kisi ghata se kaho, Hum ko ab utha le jaaye Ke Umer Beet gayee hum ko jaltay huay Yahan to kuch bhi nahin hai siwaye kaanton ke Kahan tak aagaye hum is raastay per chaltay huay Sikha rahi hai zamanay ko zindagi ka chalan Guzarti hai rail Dewana, Patrian badaltay huay.

Teri zindagi main kabhi shaam na hone denge.

Teri zindagi main kabhi shaam na hone denge. Wafa Main Ab Ye Hunar Ikhtiar Karna Hai, Woh Sach Kahe Na Kahe Aitebar Karna Hai. Yeh TujhKo Jagte Rehne Ka Shauk KabSe Hua, Mujhe To Khair Tera Intezaar Krna Hai. Khwabon main ayenge SMS ki tarah. Dil main bas jayenge ring tone ki tarah, Ye yari kabhi kam na hogi balance ki tarah, Sirf tum busy na hona network ki tarah. Baad Marne K Mere Tum Jo Kahani Likhna Kaise Barbaad Hui Meri Jawani Likhna. Yeh Bhi Likhna K Mere Hoont Hansi Ko Tarse, Umer Bhar Ankh Se Behta Raha Pani Likhna.

Bara kathan hai raasta jo aa sako to sath do

Bara kathan hai raasta jo aa sako to sath do Ye zindagi bhar ka sath hai nibha sako to sath do Jo tum kaho dil to kya main jaan bhe fida kar don Jo main kahon bus aik nazar luta sako to sath do Hazar hain imtehan yahan hazar aazmaishain Hazar dukh hazar ghum utha sako to sath do Ye zindagi yahan khushiyan ghamo k sath sath rehti hai Rula sako to sath do, Hansa sako to sath do  

Tajub kia agar

Tajub kia agar Iqbal Dunya mujh se na khush hai Buhat se log dunya main pasandeeda nahi hotay

samay samay kii Khalish me.n teraa malaal rahe

samay samay kii Khalish me.n teraa malaal rahe judaa_iiyo.n me.n bhii yuu.N aalam-e-visaal rahe anaa kii jang me.n ham jiit to gaye lekin phir us ke baad bahut der tak niDhaal rahe raah-e junuu.N me.n yahii zaad-e-raah hotaa hai ke justajuu ba.De divaanagii bahaal rahe hasii.n raate.n bhii mahake.n tumhaarii yaado.n se ka.De dino.n me.n bhii pal pal teraa Khayaal rahe tuu ek baar zaraa kishtiyaa.N jalaa to sahii hai kyaa majaal ke ek lamhaa bhii zavaal rahe

Her Ek Shakhas Kaha'n Hum Kheyal Hota Hay

Her Ek Shakhas Kaha'n Hum Kheyal Hota Hay  Bichhar gaya Hou'n tou Usko Malal Hota Hay Mia'n us Jahan-e-Muhabat Ka rehnay Wala Hou'n  Jaha'n kesi Ko bholana Mahaal Hota Hay Hamaray Qadmou'n Mai'n Sa'aye Panah Latai'n Hai'n  Jab Aaftab Ka Waqt-e-Zawal Hota Hay Mia'n us Hesa'ar-e-An'na Ko bhi Tour Aa'ya Hou'n  Jahan Say Akasr Loutna Mahaal Hota Hay  

Gham-e dauran bhi to hai k galat hota nahi

Gham-e dauran bhi to hai k galat hota nahi  To kia yeh samjhein k gham kam hota nahi Be'sabab royie gham-e hasti pe kyun danistan  Hota hai jab ba'daleel, kuch be'waja hota nahi Aya khayal dekhiye rab ko dar-e dehleez-e dil  Log kehte hein wahan hota hai, par hota nahi Mai piye jo gir rahe the yak ba yak pesh roz  Lijiye, suniye, k kehte hein nasha hota nahi Kuch nahi mehr-o wafa, ik shokh si tehrer hai  Keh dia kai ho gaya par ishq youn hota nahi Naaz dar khud kia karien jab dar-e tofan bhi  Kashti ka hai Allah hafiz, nakhuda hota nahi Jab se chhayi hai zehn pe khushgli hoor ki  Husn-e bint-e hawa dekh, dil fida hota nahi Sun Adeel tu bhi bs ab aa ja raah-e raast pe  Kuch nahi iss mein zayan, gar nafa hota nahi

Phira hun sare zamany me dar ba dar kaisey..

Phira hun sare zamany me dar ba dar kaisey..  Me terey baad bhi zinda raha magr kaisey.. Wo janta he k kuch roz wo nhi tha to men..  Pukarta raha us ko idher udhar kaisey.. Men jis k hijir me roya hun pagalon ki trha..  Wo kal mila to hansa mery haal par kaisey.. Az!z tarr thi jissey nind sham-e-wisal men bhi..  Wo tery hijr me jaga he umer bhar kaisey.. Kahan ki dosti, kaisa firaaq, kon MOHSIN..?  Me khud ko bhul gaya tujh ko bhool kr kaisey

Zalimon Ki Dheel Ka Manzar Nazar Tak Le Gaya

Zalimon Ki Dheel Ka Manzar Nazar Tak Le Gaya Hum Ghareebon Ki Duwaon Ka Asar Tak Le Gaya Unche Mahalon Ke Tale Hai Muflison Ki Bheed Kyon Kaun Sa Jazba Unhe In Ahle Nazar Tak Le Gaya Zinda Bachche Jalte Dekhe Aik Budhe Baap Ne Kis Qadar Jaan Sauz Manzar Tha Nazar Tak Le Gaya Khushnaseebi Le Gayi Ik Behunar Ko Arsh Par Badnaseebon Ka Hunar To Unka Sar Tak Le Gaya Matlabi Aik Baap Bete Se Dagha Karta Raha Ye Rawayya Achchhe Bete Ko Bhi Shar Tak Le Gaya Rekhta Kar Liya Haqgoee Mein Sar Bhi Safed Uska Har Ik Sach Magar Jhoote Nagar Tak Le Gaya

mujhe udaas kar gaey ho, khush raho

mujhe udaas kar gaey ho, khush raho mere mizaaj par gaey ho, khush raho mere liye nah ruk sakey to kya huwa jahaN kaheiN thehar gaey ho, khush raho khushi huwi hey aaj tum ko dekh kar bahut nikhar sanwar gaey ho, khush raho udaas ho kisi ki bey wafai par wafa kaheiN to kar gaey ho, khush raho gali meiN oar log bhi thay aashna humheiN salaam kar gaey ho, khush raho tumheiN to mairi dosti peh naaz thaa osi sey ab mukar gaey ho, khush raho kisi ki zindagi bano keh bandagi merey liye to mar gaey ho, khush raho

Gham_e_Hayat ka jhgada mita rha hy koi

Gham_e_Hayat ka jhgada mita rha hy koi Chly aao k dunia sy ja rha hy koi Koi azal sy khe do k ruk jay do ghadi Suna hy k any ka wada nibha rha hy koi Wo ess naz sy bethy hain lassh k pass Jaesy rothy huy ko mna rha hy koi Plt kr na aa jay phr sans nbzon main Itny haseen hathon sy mayet sja rha hy koi

Meri Band Aankhoin Ka Saccha Kwaab Ho Tum

Meri Band Aankhoin Ka Saccha Kwaab Ho Tum, Meri Tanhaio Ke Sawalo Ka Javab Ho Tum, Ab To duniya Bhi Ruth Jaye To Gum Na Hoga Meri Duniya, Kaynaat Mera Chaand Ho Tum… ` Tum Chahe Izhaar Na Karo, Hame To Tumhari Khamoshi Bhi Utni Hi Pyari Hai, Tum Milo Na Milo, Tumhari Yaadein Bhi Tum Jaisi Pyari Hai… ` Tere Intazaar Ka Ye Alam Hai, Tadapta Hai Dil Aakhein Bhi Nam Hai, Teri Aarzoo Mein Jee Rahe Hai, Warna Jeene Ki Khwahish Kam Hai.. ` Ashik Tu Soch Tera Kya Hoga Kyuki, Hashar Ki Parvah Main Nahi Karta, Fanah Hona Rivayat Hai Tumhari, Ishq Naam Hai Mera Main Nahi Marta.. ` Pyar Ki Wo Misaal Banayege Hum, Aankhen Band Karoge To Nazar Aayenge Hum. Bhar Denge Itna Pyaar Dil Mein K, Khud Se Pehle Yaad Aayenge Hum…

Usey kehna bicharne se muhabbat tu nhn marti ,

Usey kehna bicharne se muhabbat tu nhn marti , Usey kehna bicharne se muhabbat tu nhn marti , Bichar jana muhabbat ki SADAQAT hai ALAMAT hai , : MUHABBAT AIN FTRAT HAI_ : han fitrat kab badalti hai ???? : So jab hum dor ho jaen, Nae rishton mien kho jaen , Tu ye mat soch lena tum muhabbat mar gae hogi , Nhn aesa nhn hoga, Mere bare mien sun k jab tmhare bhar aye , Chalak kar aik bhi anso palak pe jo utar aye , Tu bas itna samajh lena, Jo mere naam se itni tere dil ko aqeedat hai ' Tere dil mien bichar kar bhi abhi mere muhabbat hai , Muhabbat jo bikhar kr bhi sada abad rehti hai , : MUHABBAT HO KESE TU HAMESHA YAD REHTI HAI_

Nasha aisa chhaya, teri aashiki ka

Nasha aisa chhaya, teri aashiki ka Hua dil diwana, teri sadgi ka Ye aankhe jhuki si, ye sharimilipan Badan chandni sa, aur ye pairahan Ajab sa sama hai, teri dilkashi ka Nasha aisa chhaya teri aashiqi ka Tu khamosh hai, ek tasvir jaise lage aise tu, meri takdir jaise Diya hai mere dil ki tu raushni ka Nasha aisa chhaya teri aashiki ka Teri ek jhalak ne diwana banaya Hame khud se bhi begana banaya Chhaya hai mere dil pe jadu ye bekhudi ka Nasha aisa chhaya, teri aashiqi ka ‘Avinash’ se jara tu bas pyar karke dekh Bahon main aa ja ek pal ijhar karke dekh Aajayega maja fir, jine main jindgi ka Nasha aisa chhaya, teri aashiqi ka.

Waqt apni rawani mein dhalta raha ……

Waqt apni rawani mein dhalta raha …… Mein tanha tha tanha he chalta raha …….. Khabi hansta tha apne naseebon pe mein …….. Khabi andar he andar mein jalta raha …… Kahien shikway mile aur kahien thokrain ……. Chotein aisi lagin k sanbhalta raha ….. Us ko pene ki khatir to sub kuch kiya ……. Wohi sangdill tha raaste badalta raha ……..

A Tribute to Hazrat Imam Hussain

Oh !  the son of Prophet, the saviour of  men, The sultry noon of  the horrid summer, When long back this day, your pious blood, Fell to the soil in a ruthless way, Haunts me like a frightening dream. The arrow, so cruel that pierced the throat, Of a thirsty babe who could not shriek, The devilish hands  that severed the head, From your body, the holiest then, Make me tearful  night and day. One could foresee through your pains, We would learn a moral so high, In chain would spring the countless heads, To follow your spirit  in the righteous cause, Alas! Craven we are, could not do. We lament your sorrow and  cry so hoarse, You might think, a creed has come, To hold your banner in the benighted world, To trim the evils as you did, Alas! We are a smirch on your name. Our talks are bold, our hearts are weak, Our tongues are sharp, our minds are meek, Our hands and legs are shivery all, Make us  man and give us a call, Our hopes are shimmering...
" Mujy Hussain as k Rony sy Takleef Hoti Hy " Rasool E Khuda sawws!! Nuqush e Azmat pg 324

Mery Hussain

●● Mery Hussain as Ka Jo Bi Ghulam Ho Jye ●● ●● Wo Hurr Ki Tarha Sy Aali Makaam Ho Jye ●●

Hussain Kabay Say Jatay Hain Karbala K Liyay

Hussain Kabay Say Jatay Hain Karbala K Liyay Khuda K Ghar Say Hain Jaatay MagaR Khuda K Liyay  

Sajday Tu Sab Nay Kiye Tera Naya Andaaz Hy

Sajday Tu Sab Nay Kiye Tera Naya Andaaz Hy Tu Nay Woh Sajda Kia Jis Per Khuda Ko Naaz Hy

Din Roye Gi Raat Roye Gi

Din Roye Gi Raat Roye Gi Had Yeh Hy K Kul Kainat Roye Gi Jab Bi Muhram Ka Chand Nazar Aye Ga Har Fidayan e Hussaini Ki Zat Raye Gi

Jab Bhi Kabhi Zameer Ka Soda Ho

Jab Bhi Kabhi Zameer Ka Soda Ho Dat Jao Tum Hussain (as) Ky Inkar Ki Thara

Tapti Hui Zameen Hai, Aur Karbala Ka Bann Hai

  Tapti Hui Zameen Hai, Aur Karbala Ka Bann Hai  Maqtal Main Shai Ka Laasha, Be-Gor-o-Be Kafan Hai Ieeman Ki Raushni Sai, Honton Pe Hai Tabassum  Marnay Ki Aarzu Main, Pyaason Ki Anjuman Hai Paidal Chala Rahay Hain, Beemar-e-Karbala Ko  Aadaa Main Sar Barahna, Shabbir Ki Bahan Hai Gham Un Ka Karaa Rahay Hain, Hum Un Ko Ro rahay Hain  Jin Ke Lahu Se Taza, Islam Ka Chaman Hai Jin Bibiyon Ka Saaya, Khursheed Ne Na Dekha  Aaj Un Ke Bazuon Main, Jakrhi Hui Rasan Hai Door aao Ab Na Ghudai, Lillah Raham Khaao  Zakhmon Se Tukrhay Tukrhay, Shabbir Ka Badan Hai  

Jab laasha-e-farzand-e-nabi ho gaya paamaal

Jab laasha-e-farzand-e-nabi ho gaya paamaal  Us waqt ajab haal mein thi Fatima ki aal  Tareeq ne kuchh is tarha likha hai wo ebaal  Sab bibiyon mein ek tha bibi ka bura haal  Bechaini se aati thhi dar-e-khaime se har baar  Bachchon ko samete hue kehti thhi dilabgaar - Ay jari diler-e-baawafaa  Baazu-e-shaheed-e-Karbala  Jaan-e-Fatima-o-Murtuza  Tashnalab Sakina ke chacha  Kisko de sadaa Zainab, kisko de sadaa Zainab  Fauj ab qareeb aayi, ay Hussain ke bhai Aap ko nahin hai ye khabar  Lut gaya hai Fatima ka ghar  So rahey ho jaake nehr par  Naize pe rakha hai Shah ka sar  Kisko de sadaa Zainab, kisko de sadaa Zainab  Fauj ab qareeb aayi, ay Hussain ke bhai Akbar-e-jawaan nahin raha  Bezubaan bhi qatl ho gaya  Qasim-e-hazeen bhi chal basa  Khaatma hua sipah ka  Kisko de sadaa Zainab, kisko de sadaa Zainab  Fauj ab qareeb aayi, ay Hussain ke bhai Kis tarha bataoon rann ka haal  Laash k...

Rauze Pe Mustafa Ke Udaasi Si Chhaayi Hai

Rauze Pe Mustafa Ke Udaasi Si Chhaayi Hai  Kunbay Ko Kho ke Zainab-e-Naashaad Aayi Hai  Rokar Pukaari Nana Ye Faryaad Laayi Hoon  Mai Chhorh Kar Hussain Ko Jangal Main Aayi Hoon Nana Ajeeb Saanahai Ham Par Guzar Gaya  Ranj-o-Alam Ne Gher Liyaa Hum Jidhar Gaye  Nana Khudaa Kai Ghar Mein Na Hum Ko Amaan Mili  Bhaai Ne Sheher Chorh Ke Jangal Ki Raah Li Nana Hamain Na Chain Mayassar Kahin Huwa  Paani Bhi Bandh Hum Pai Layeenon Nai Kar diya  Nana Tumhari Aal Pai Kya Kya Sitam Huwai  Bachai Tarap Kai Mar Gaye Paani Kai Waastai Nana Shaheed Ho Gaye Bhaai Kai JaanNisar  Ek Ek Kar Kai Mar Gaye As'haab-e-Zeewaqar  Nana Bala Kai Ban Main Qayamat Ka Runn Parha  Bhaai Sai Bhaai Baap Sai Beta Bichharh Gaya Nana Zameen-e-Karbobala Laal Ho gayi  Qasim Ki Laash Ghodhon Se Paamaal Hogayi  Nana Kataa Ke Shanon Ko Abbas Mar gaye  Ghurbat Mein Bhaaijaan Ko Be Aas Kar gaye Nana Tumhari Shakl Ka Farzand Ek Jo Tha  Khaa Kar Sina J...

Lo alamdaar chalaa

Dil Sakina mein, nazar fauj pe  Hoton pe dua  Lo alamdaar chalaa Mashq kaandhe pe rakhi  Pyaar kuchh aur badhhi  Aa gayi wo bhi gharhi  Jaanib-e-nehr chali leke pharere ki hawa  Lo alamdaar alamdaar alamdaar chalaa Shor maujon se utha  Marhaba salla alaa  Boli ghazi se wafa  Peshwaai ko badhha sar ko jhukaaye dariya  Lo alamdaar alamdaar alamdaar chalaa Paani chullu mein liya  Dil pe ek teer lagaa  Di Sakina ko sadaa  Paani laata hai meri jaan tera saqqa  Lo alamdaar alamdaar alamdaar chalaa Mashq bharna thhi bhari  Go ke pyaasa thha jari  Tashnagi kehti rahi  Paani peele ay alamdaar jo mauqa hai mila  Lo alamdaar alamdaar alamdaar chalaa Phir bhi paani na piya  Pyaas ko bhool gaya  Saani-e-sher-e-Khuda  Apne ghodey ko su-e-khaima jari leke badhha  Lo alamdaar alamdaar alamdaar chalaa Sirf koshish thhi yahi  Paani pahunchaaye abhi  Poori hasrat na hui  Naaga...

Jangal mein bharey ghar ko lutaa aayi hai Zainab

Jangal mein bharey ghar ko lutaa aayi hai Zainab  Ay shehr-e-madeena  Aabid ko kisi tarha bachaa laayi hai Zainab  Ay shehr-e-madeena Bandhwaa ke rasan haathon mein aur khutbey sunaa ke  Gharbaar lutaa ke  Deewar badhey kufr ke dhaa aayi hai Zainab  Ay shehr-e-madeena Jis shehr mein shahzaadiyon ki tarha rahi thhi  Naazon ki palee thhi  Sar nangey usi shehr mein ho aayi hai Zainab  Ay shehr-e-madeena Jo hijr-e-pidar mein rahey har waqt pareshaan  Soyi nahin ek aan  Us bachchi ko zindaan mein sula aayi hai Zainab  Ay shehr-e-madeena Thha pyaar bohot bhai ko jis bhaai ke damm se  Dil phhat-ta hai gham se  Saahil pe akela usey chhod aayi hai Zainab  Ay shehr-e-madeena Chhe maah ke Asghar ko bhi jhoole ke bajhaaye  Dukh dard chhupaaye  Aaghosh mein turbat ke sulaa aayi hai Zainab  Ay shehr-e-madeena Thhe Aun-o-Mohammad jo mere aankhon ke taare  Maamu ke dulaare  Qurbaan unhein bhaai pe kar a...

Hai karbala ke bann mein ghareebon ka arba'een

Hai karbala ke bann mein ghareebon ka arba'een Shabbir ke mazaar pe Zainab ki hai jabeen  Aansoon bahaa rahey hain khadey Abid-e-hazeen  Aabaad thi Hussain ke khadmon se ye zameen  Ab haal ye hai sar pe koyi saayebaan nahin Hai karbala ke bann mein ghareebon ka arba'een Bhaiya hamare waade ki takmeel ho gayi  Aisa safar hua hai ke sar par rida na thi  Darbar-e-shaam mein thi khayamath ki bebasi  Rudaad-e-gham sunaane ki taakhath bhi ab nahi Hai karbala ke bann mein ghareebon ka arba'een Maa jaye pehle aag lagi khaimagaah mein  Har gaam ek taaza qayamath thi raah mein  Bachi ki hichkiyon ka hai manzar nigaah mein  Zindaan-e-shaam mein hai Sakina yahaan nahin Hai karbala ke bann mein ghareebon ka arba'een Laila tadap rahi hai ke dilbar nahin raha  Lakhthe jigar shabeeh-e-payamber nahin raha  Roney ko ma tho reh gayi Akbar nahin raha  Chehlum jawaan bete ka aur aur maadar-e-hazeen Hai karbala ke bann mein ghareebon ka arba'een Ab...

Pardh Kai Mahzar, Jab Madine Sai Chalaa Wo Khafela

Pardh Kai Mahzar, Jab Madine Sai Chalaa Wo Khafela  Qasim O Abbas O Akbar Aur Sibt-e-Mustafa  Saath Mein Zainab, Sakina Aur Ruh-e-Fatema  Sayyed-e-Sajjad Asghar, Saath Sughra Ki Dua  Khafela Tha Ek, Lekin Do Thay Ruh-e-Khafela  Ek Ali Ki Laadli Thi, Ek Ali Ka Laal Tha Aaye Ho Kis Shaan Sai, Nikle Thay Su-e-Karbala  Saath Abbas-e-Jari, Khabze Main Tegh-e-Murtaza  Markaz-e-Taazeem Theen, Do Hastiyan Har Ek Ka  Ek Ali Ki Laadli Thi, Ek Ali Ka Laal Tha Apne Bayton Ko Fida, Bhai Pe Zainab Ne Kiya  Bhai Mar Ke Bhi Na Zainab, Sai Huwa Ek Pal Juda  Sar Barehna Wo Chali, Wo Bar Sar-e-Neza Chalaa  Ek Ali Ki Laadli Thi, Ek Ali Ka Laal Tha Sar Diya Bhai Nai Chaadar Di Bahen Nai Deen Ko  Na Bahen Aisi, Na Aisa Bhai Hoga Mominon  Jis Nai Sar Unchaa Kiya Hai, Baani-e-Islam Ka  Ek Ali Ki Laadli Thi, Ek Ali Ka Laal Tha Sar Barehna Thi Bahen To Bhai Bhi Tha Bai Kafan  Bhai Kai Baazu Juda, Bahnaa Kai Baazu Mein Rasan  Sar Kiy...

Ay mominon payam-e-Sarwar ko yaad rakhna

Ay mominon payam-e-Sarwar ko yaad rakhna  Ujda jo ek din mein us ghar ko yaad rakhna Aaghosh mein tumhari masoom koyi aye  Aur pyar se koyi maa jhoola usey jhulaye  Banu ki bebasi ko Asghar ko yaad rakhna Ujda jo ek din mein us ghar ko yaad rakhna Tumko Khuda dikhaye khushiyon ka har sawera  Qismath se jab bhi baandho apne pisar ka sehra  Qasim ko yaad rakhna Akbar ko yaad rakhna Ujda jo ek din mein us ghar ko yaad rakhna Dekho na zindagi mein marna jawaan pisar ka  Bete ka daagh dil par hotha hai umr bhar ka  Laila ki hasrathon ko Akbar ko yaad rakhna Ujda jo ek din mein us ghar ko yaad rakhna Behenon ko betiyon ko jab bhi rida udhana  Ham bekason ko hargiz dil se nahin bhulana  Meri bahen ke sar ki chadar ko yaad rakhna Ujda jo ek din mein us ghar ko yaad rakhna Beton ko jo na royi khurbaan karke mujhe par  Aur sar nahin uthaya ehsaan karke mujh par  Us jaan nisaar meri khaher ko yaad rakhna Ay mominon payam-e-Sarwar ko yaad rakh...

Aseer ho ke chali hoon salam lo baba

Aseer ho ke chali hoon salam lo baba Hai sar pe khaak bhi gham bhi hai aur buka bhi hai  Hai kamsani bhi museebath bhi aur jafa bhi hai  Phupi ke saath rasan mein mera gala bhi hai  In aafathon se guzarne ka hausla bhi hai Aseer ho ke chali hoon salam lo baba Suna hai shaam ka darbaar jab bhara hoga  Yazeed ka sare darbaar saamna hoga  Mera tho bhai bhi zanjeer mein bhanda hoga  Phupi jo pahunchegi darbaar mein tho kya hoga Aseer ho ke chali hoon salam lo baba Suna Sakina se gham ka payaam aye baba  Hamare jai gaye sare khayam aye baba  Kahan kahan ho na jane khayam aye baba  Ho saari zeesth tumhara hi naam aye baba Aseer ho ke chali hoon salam lo baba

Ab to zara khaime mein aao Ghazi, Ab to zara khaime mein aao

Ab to zara khaime mein aao Ghazi, Ab to zara khaime mein aao  Asghar ko paani pilao Ghazi, Asghar ko paani pilao Tukde hue tere mashk aur alam ke  Armaan hain tere baazu qalam ke  Zainab ko baazu dikhao Ghazi, Zainab ko baazu dikhao  Ab to zara khaime mein aao Ghazi, Ab to zara khaime mein aao Jaoon kidhar main alamdaar bhai  Mere Husain ke salaar bhai  Zainab ka parda bandhao Ghazi, Zainab ka parda bandhao  Ab to zara khaime mein aao Ghazi, Ab to zara khaime mein aao Paani ko jaakar, tum vaapas na aaye  Zainab ka kaun ab parda bandhaye  Abbas kuch to bataao Ghazi, Abbas kuch to bataao  Ab to zara khaime mein aao Ghazi, Ab to zara khaime mein aao Abbas na aaye, Akbar na aaye  Sunta nahin koi, meri sadaaein  Ujrhon ko aake bachaao Ghazi, ujrhon ko aake basaao  Ab to zara khaime mein aao Ghazi, Ab to zara khaime mein aao

Jheelon se chaar paaye na uthte thay taaba shaam

                   Karbala PART II Jheelon se chaar paaye na uthte thay taaba shaam Maskan mein machliyoon ke samandar ka tha maqaam Aahu jo kahile thay tou cheetey siyaah faam Patthar bhi sab pigal gaye thay misl e moum khaam Surkhi udhi thi phoolon se sabzi gayaah se Pani kuwein mein utra tha saaye ki chaah se koson kisi shajar mein na gul thhe na barg o baar ek ek nakhal jal rahaa thaa suurat e chinaar hanstaa thaa koi gul na lahakataa thaa sabzaraar kaantaa hui thi suukh ke har shaakh e baar daar garmi ye thi ki zeest se dil sab ke sard thhe patte bhi masle e cheharaa e madquuq zard thhe        girdaab par thaa shola e javaalaa kaa gumaan angaare thhe habaab to paani sharar fishaan muunh se nikal parhi thi har ek mauj ki zabaan tah par thhe sab nihang magar thi labon pe jaan paani tha aag garmi e roz hisaab thi maahi jo seekh e mauj tak aayi kabaab thi ...

Jab qata ki masafat e shab aaftaab ne

             Karbala - Part I Jab qata ki masafat e shab aaftaab ne Jalwa kiya sahar ke rukhe behijaab ne Dekha suwe falaq Shahe gardoon raqaab ne Mudh kar sada rafeeqo ko di us janaab ne Aakhir hai raat hamd o sanaye Khuda karo Utho fareezaye sahri ko ada karo Haan ghaaziyon ye din hai jidaal o qitaal ka Yaan khoon bahega aaj Mohammad ki aal ka Chehra khushi se surkh hai Zahra ke laal ka Guzri shabe firaaq din aaya visaal ka Hum wo hain gham karenge malak jin ke waastey Raatein tadap ke kaati hai is din ke waastey Ye sunke bistaron se uthe wo Khuda shinaas Ek ek ne zebe jism kiya fakhira libaas Shane muhasino mein kiye sab ne be hiraas Baandhe amame aaye imame zaman ke paas Rangeen abaayein dosh pe kamre kasey huwe Muskh o zibaad o itr mein kapde basey huwe Khaime se nikle Shay ke azeezaane khush khisaal Jin mein kayi thay Hazrate Khairun nisa ke laal Qasim sa gul badan Ali Akbar sa khush jamaal Ek jaa Aqeel o Musli...

Jab dakhil e bahisht Rasool e Khuda huwe

Jab dakhil e bahisht Rasool e Khuda huwe  Ya’ni jahaan se rahiye maalik e baqa huwe  Mahzoon O dil malool Shahe laa fatah huwe  Sibtain gham mein nana ke sarf e buka huwe  Sadma har ek ko tha janaab e Rasool ka  Par haal e ghair sab se siwa tha Batool ka Bistar se thar thara ke uthi thaam kar asaa  Qabr e Nabi pa fatiha na aakhri padha  Hamsaiyoon ke ghar gayeen rukhsat ko aur kaha  Lo sahibo bahal karo ab kooch hai mera  Izaa thi tum sabhoon ko mere shor o shain se  Kal Fatima na hoyegi tum sona chain se Hamsa ye ke huqooq se aagaah hai jahaan  Logoon mere yateemo se rahna nigaahbaan  Ab saath un ka aur tumhara hai hum kahaan  Bin maa ki hoti hai meri dukhyaari betiyaan  Bachpan pe apne bachchon ke aasoon bahati hoon  Tum par Hasan Hussain ko mein chhorde jaati hoon Ro kar kabhi Hasan ko galey se laga liya  Aaghoosh mein Hussain ko gaahe bitha liya  Rukhsat kiya kisi ko kisi ko bula liya  Padh...

Bilqees paasbaan hai ye kiski janaab hai

Bilqees paasbaan hai ye kiski janaab hai  Maryam durood khwaan hai ye kiski janaab hai  Shaan e Khuda ayaan hai ye kiski janaab hai  Dahleez aasmaan hai ye kiski janaab hai  Kursi zameen se leti hai goshey panaah ke  Baitha hai arsh saaye mein kis bargaah ke Ulfat Khuda ke baad Habeeb e Khuda ki hai  Munsif ke paas ye bhi wila Kibriya ki hai  Parwa na faaqe ki na shikayat ghiza ki hai  Eezaa faqad judaaiye khair ul wara ki hai  Aab o ghiza ki fikr na sonay ka dhyaan hai  Aakhon mein shakl baap ki ronay ka dhyaan hai Betey pukaarte hain ke lillah baahar aao  Amma na itna ro’o ghulaamo pe rahm khaao  Nana kahaan gaye hain bula laaein hum bataao  Hum kapde phaadtey hain nahi tou galey lagaao  Nana ke baad haaye ye be qadr hum huwe  Sab ek taraf huzoor ke bhi pyaar kam huwe Baahar se Murtuza gaye ghar mein jhukaye sar  Munh dhaampe ro rahi thi akeyli who khush siyar  Dene lagey payaam arab Shaahe bahrobar ...

~ Ay Momino! Hussain ka matam akheer hai ~

Ay Momino! Hussain ka matam akheer hai  Bazm e azaa e qibla e alam akheer hai  Shi’yo! Shahe anaam ka matam akheer hai  Hain majlis e tamaam Moharram akheer hai  Uryaan sar hai fatah e badr o hunayn ka  De lo Batool e paak ko pursa Hussain ka Haan aashiqaan e Shahe umam! Peeto apna sar  Ashra hai aaj aur ye qayamat ki hai sahar  Aalam ke baadshaah ka dunya se hai safar  Uth te hain taaziye ke chaley Shahe bahrobar  Rukhsat hai Shay ki ahle azaa behawaas hain  Dekho tou kaise ta’ziya khane udaas hain Wa hasrata Imam e gharibaan ka kooch hai  Afsoos hai ke deen ke Sultaan ka kooch hai  Roanakh ke din chaley Shahe zeeshaan ka kooch hai  Rukhsat karo Hussain se mehmaan ka kooch hai  Sadma ajab tarah ka hai dil par hai jaan par  Kaisi udaasi phaeli huwi hai jahaan par Ay noor e chashm e Ahmad e Muqtaar alwida  Ay Sayyed Ay Batool ke dildaar alwida  Ay ummat e Rasool ke ghamkhwaar alwida  Ay hum se beka...

Hargiz Nahi Hein Matam o Sajda Alag Alag

Hargiz Nahi Hein Matam o Sajda Alag Alag Dono Mein Hai Hussain (a.s) Ka Jalwa Alag Alag    Sajdon Kay Bhi Nishan Hein Matam Ka Bhi Nishan Dono Karenge Qabar Ko Roshan Alag Alag  Jo Log Munkireen e Wilayat Hein Un Se Tou Nimtenge Khud Imam e Zamana a.s Alag Alag  Hur Ba-nasab Tha Aur Bad Nasab Tha Hurmala Dono Ka Naam Aek Sa Shajra Alag Alag  Haider Kay Munkiron Se Hain Momin Kuch Aese Door Rehte Hein Jese Murdon Se Zinda Alag Alg...  

bhatak rahe hain bhatakne walay

GHABRA KE JO AANKHO SE NIKAL AATE HAIN AANSOO,

GHABRA KE JO AANKHO SE NIKAL AATE HAIN AANSOO, RUMAAL ME ZEHRA (sa) KE SUKH PAATE HAIN AANSOO...  AIJAZ HAI BAS ''NAAM E HUSSAIN (as) IBN E ALI (as)'' KA, HAR EK KE KABOO ME KAHA AATE HAIN AANSOO...  FARSHE GHUM E ''SHABBIR'' PE YE MATAME SARWAR (as), RUKHSAAR PE KHUD AAKE BICHA JAATE HAIN AANSOO...  BATLAYE KOI MUJHKO KAREEB AANE SE PEHLEY, AANKHO ME MERI AAKEY KAHAN JAATE HAIN AANSOO...    HAI SAMNE TOOFAAN E HAWADIS KE THAPEDE, GHABRAO JAFAR TUM NA ABHI AATE HAIN AANSO... - a.

KARBALA KO SHAH (as) KE KADMO SE ULFAT HO GAIYEE

KARBALA KO SHAH (as) KE KADMO SE ULFAT HO GAIYEE KHAQE DUNIYA BHI JAWABE KHAQE JANNAT HOGAIYEE  KIS TARAH BHOOLE ZAMANA KARBALA KA INQELAAB KHOON PANI BAN GAYA PANI KI KEEMAT HOGAIYEE  ZERE KHANJAR KARBALA KI KHAQ PAR SHABBIR (as) NE YOO KIYA SAJDA KE MERAAJ E IBADAT HOGAIYEE  SOUNP KAR ISLAM KO AKBAR KI SHAMME ZINDAGI ROUSHNI SHABBIR KI AANKHO SE RUKHSAT HOGAIYEE    KARBALA ME UTH GAYE PARDE NIFAK O QUFR KE JISKI JO SIRAT THI USKI VAISI SURAT HOGAIYEE    HAMSE PUCHO KIS TARAH JANNAT BANI ROZE AJAL ULFATE AAL E NABI FAILI TO JANNAT HOGAIYEE    KYON NA 'SHARIB' ROIYE USKI KHUSI KE WASTEY JISKE GHAM ME ASHQ REZI BHI IBADAT HOGAIYEE... - a.z