Skip to main content

Jab laasha-e-farzand-e-nabi ho gaya paamaal

Jab laasha-e-farzand-e-nabi ho gaya paamaal
 Us waqt ajab haal mein thi Fatima ki aal
 Tareeq ne kuchh is tarha likha hai wo ebaal
 Sab bibiyon mein ek tha bibi ka bura haal
 Bechaini se aati thhi dar-e-khaime se har baar
 Bachchon ko samete hue kehti thhi dilabgaar -

Ay jari diler-e-baawafaa
 Baazu-e-shaheed-e-Karbala
 Jaan-e-Fatima-o-Murtuza
 Tashnalab Sakina ke chacha
 Kisko de sadaa Zainab, kisko de sadaa Zainab
 Fauj ab qareeb aayi, ay Hussain ke bhai

Aap ko nahin hai ye khabar
 Lut gaya hai Fatima ka ghar
 So rahey ho jaake nehr par
 Naize pe rakha hai Shah ka sar
 Kisko de sadaa Zainab, kisko de sadaa Zainab
 Fauj ab qareeb aayi, ay Hussain ke bhai

Akbar-e-jawaan nahin raha
 Bezubaan bhi qatl ho gaya
 Qasim-e-hazeen bhi chal basa
 Khaatma hua sipah ka
 Kisko de sadaa Zainab, kisko de sadaa Zainab
 Fauj ab qareeb aayi, ay Hussain ke bhai

Kis tarha bataoon rann ka haal
 Laash ko karengey paayemaal
 Bhai ka karo to kuchh khayaal
 Shah-e-lafatah ke laal
 Kisko de sadaa Zainab, kisko de sadaa Zainab
 Fauj ab qareeb aayi, ay Hussain ke bhai

Karti hai Rabab ye fughaan
 Ho-ney ko hai raat ab ayaan
 Rann mein hai hamaara bezubaan
 Le ke aayein usko bhaijaan
 Kisko de sadaa Zainab, kisko de sadaa Zainab
 Fauj ab qareeb aayi, ay Hussain ke bhai

Fauj-e-Shaam baani-e-jafaa
 Jaan ke akela benavaa
 Kar de zulm ki na intehaa
 Chhen le na aake ye ridaa
 Kisko de sadaa Zainab, kisko de sadaa Zainab
 Fauj ab qareeb aayi, ay Hussain ke bhai

Kin jafaaon ka ho taskira
 Shaam-e-gham mein aal-e-Mustafa
 Ho gayi ghamon mein mubtila
 Lab pe hai Anees ye buka
 Kisko de sadaa Zainab, kisko de sadaa Zainab
 Fauj ab qareeb aayi, ay Hussain ke bhai

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.