Skip to main content

Bilqees paasbaan hai ye kiski janaab hai

Bilqees paasbaan hai ye kiski janaab hai
 Maryam durood khwaan hai ye kiski janaab hai
 Shaan e Khuda ayaan hai ye kiski janaab hai
 Dahleez aasmaan hai ye kiski janaab hai
 Kursi zameen se leti hai goshey panaah ke
 Baitha hai arsh saaye mein kis bargaah ke

Ulfat Khuda ke baad Habeeb e Khuda ki hai
 Munsif ke paas ye bhi wila Kibriya ki hai
 Parwa na faaqe ki na shikayat ghiza ki hai
 Eezaa faqad judaaiye khair ul wara ki hai
 Aab o ghiza ki fikr na sonay ka dhyaan hai
 Aakhon mein shakl baap ki ronay ka dhyaan hai

Betey pukaarte hain ke lillah baahar aao
 Amma na itna ro’o ghulaamo pe rahm khaao
 Nana kahaan gaye hain bula laaein hum bataao
 Hum kapde phaadtey hain nahi tou galey lagaao
 Nana ke baad haaye ye be qadr hum huwe
 Sab ek taraf huzoor ke bhi pyaar kam huwe

Baahar se Murtuza gaye ghar mein jhukaye sar
 Munh dhaampe ro rahi thi akeyli who khush siyar
 Dene lagey payaam arab Shaahe bahrobar
 Ghabrakey boli haaye karoon kya mein be pidar
 Qaabu mein maut hoye tou mar jaaon Ya Ali
 Baba ka sog leke kidhar jaaon Ya Ali

Meri taraf se ahle madine ko dou payaam
 Logo khafa na ho meri rukhsat hai subh o shaam
 Dou chaar din tumharey muhalley mein hai maqaam
 Ronay ki dhoom ho chuki ab kaam hai tamaam
 Ghabrati hoon watan mein safar ke mahine se
 Baba sidharey kaam mujhe kya madine se

Phir tou har ek muhalley mein mahshar bapa huwa
 Apne paraaye doude ke hai hai ye kya huwa
 Fizza pukari Sayyida ka waqiya huwa
 Hujra Batool e paak ka maatam sara huwa
 Chhaati khalaq se dekhne waloon ki phat gayi
 Munh rakh ke munh pe murdeh ke Zainab lipat gayi

Mein doodh bakhshwaaney na paayi ke chal basey
 Sharbat banake laaney na paayi ke chal basey
 Kuch haal e dil sunaaney na paayi ke chal basey
 Mein be naseeb aaney na paayi ke chal basey
 Kya jald tar zamana huwa inteqaal ka
 Hai hai abhi tou sin tha kul athara saal ka

Ay meri faaqa kash meri nazaar amma jaan
 Ay meri be rida meri bimaar amma jaan
 Ka’bey ki aabru meri sardaar amma jaan
 Ay meri saabira meri nachaar amma jaan
 Nana muyi tou thi koyi tazaa khitaab dou
 Amma jawaab dou meri amma jawaab dou

Nanhe se sar khule huwe hain nahi sar pe topiyaa
 Kahte hai kuch tou munh se nikalta hai haaye maa
 Likha hai jab janaaze pe pahunchey woh neem jaa
 Hasrat se dekha murdeh ka munh aur ye ki fizaa
 Amma ghulaam aaye hain rukhsat ke waastey
 Jaati jo tum Nabi ki ziyaarat ke waastey

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng