Tapti Hui Zameen Hai, Aur Karbala Ka Bann Hai


 

Tapti Hui Zameen Hai, Aur Karbala Ka Bann Hai
 Maqtal Main Shai Ka Laasha, Be-Gor-o-Be Kafan Hai

Ieeman Ki Raushni Sai, Honton Pe Hai Tabassum
 Marnay Ki Aarzu Main, Pyaason Ki Anjuman Hai

Paidal Chala Rahay Hain, Beemar-e-Karbala Ko
 Aadaa Main Sar Barahna, Shabbir Ki Bahan Hai

Gham Un Ka Karaa Rahay Hain, Hum Un Ko Ro rahay Hain
 Jin Ke Lahu Se Taza, Islam Ka Chaman Hai

Jin Bibiyon Ka Saaya, Khursheed Ne Na Dekha
 Aaj Un Ke Bazuon Main, Jakrhi Hui Rasan Hai

Door aao Ab Na Ghudai, Lillah Raham Khaao
 Zakhmon Se Tukrhay Tukrhay, Shabbir Ka Badan Hai