Skip to main content

Rauze Pe Mustafa Ke Udaasi Si Chhaayi Hai

Rauze Pe Mustafa Ke Udaasi Si Chhaayi Hai
 Kunbay Ko Kho ke Zainab-e-Naashaad Aayi Hai
 Rokar Pukaari Nana Ye Faryaad Laayi Hoon
 Mai Chhorh Kar Hussain Ko Jangal Main Aayi Hoon

Nana Ajeeb Saanahai Ham Par Guzar Gaya
 Ranj-o-Alam Ne Gher Liyaa Hum Jidhar Gaye
 Nana Khudaa Kai Ghar Mein Na Hum Ko Amaan Mili
 Bhaai Ne Sheher Chorh Ke Jangal Ki Raah Li

Nana Hamain Na Chain Mayassar Kahin Huwa
 Paani Bhi Bandh Hum Pai Layeenon Nai Kar diya
 Nana Tumhari Aal Pai Kya Kya Sitam Huwai
 Bachai Tarap Kai Mar Gaye Paani Kai Waastai

Nana Shaheed Ho Gaye Bhaai Kai JaanNisar
 Ek Ek Kar Kai Mar Gaye As'haab-e-Zeewaqar
 Nana Bala Kai Ban Main Qayamat Ka Runn Parha
 Bhaai Sai Bhaai Baap Sai Beta Bichharh Gaya

Nana Zameen-e-Karbobala Laal Ho gayi
 Qasim Ki Laash Ghodhon Se Paamaal Hogayi
 Nana Kataa Ke Shanon Ko Abbas Mar gaye
 Ghurbat Mein Bhaaijaan Ko Be Aas Kar gaye

Nana Tumhari Shakl Ka Farzand Ek Jo Tha
 Khaa Kar Sina Jigar Mein Wo Mehruh Bhi Chal Basa
 Nana Shaqi Ki Teer Se Asghar Huwa Shaheed
 Aisa Huwa Na Hoga Jahaan Main Sitam Shadeed

Nana Hussain Baikas-e-Beyaar Ho Gaye
 Aamada Qatl Karnai Ku Kuffar Ho Gaye
 Tarpay Jo Zeer Khanjare Bai Aab Shahai Deen
 Shimr-e-Layeen Kai Zulm Sai Tharra Gayi Zameen

Nana Hamare Ghar Ka Sab Asbaab Lut Gaya
 Nana Hamare Sar Pe Na Baqi Rahi Rida
 Nana Hazaar Tarha Jafa Ki La'eenon Ne
 Khaimon Mein Aag Lagaa di La'eenon Ne

Nana Huwi Aseer Tumhaari Nawasiyaan
 Kaun-o-Makaan Mein Chhaa Gayi Gham Ki Udaasiyaan
 Nana Haram Hussain Kai Bazaar Mein Gaye
 Hum Sar Barehna Kufe Ke Darbar Mein Gaye

Nana Tumhaari Aal Gayi Mulk-e-Shaam Mein
 Pahunchi Ali Ki Betiyaan Darbaar-e-Aam Mein
 Nana Haqeer Saheb-e-Tatheer Ho Gaye
 Ham Log Shehr Shaam Mein Tash-Heer Hogaye

Nana Aseer Bara Thai Hum Ek Thi Rasan
 Baandhe Gaye Thai Misle Gunaahgaar-e-Khasta-tann
 Nana Hum Apne Haal Pe Rote Thai Zaar Zaar
 Nana Hamaare Ronay Pe Haste Thai Badshiaar

Nana Ajeeb Haal Hamaaraa Tha Us Ghadi
 Ek Bibi Peechhe Doosri Bibi Kai Chhupti Thi
 Us Wakt Thar Thari Si Merai Tann Mein Parh Gayi
 Sad Haif Hai Zameen Mein Zainab Na Garh Gayi

Itne Mein Ek Shaami Nai Nana Ghazab Kiya
 Saidaani Ko Kaneezi Mein Apni Talab Kiya
 Hoti Thi Laakh Zillatain Hum Dekhte Rahe
 Hans Hans Ke Taaziyaane Sitam Jhelte Rahe

Nanaa Tabaah Ho Ke Hum Aaye Hain Shaam Se
 Ek Daagh-e-Nau Sakina Ka Laaye Hain Shaam Se
 Nana Hamare Tann Pe Nishaanon Ko Dekh Lo
 Ab Tak Hai Neel Rassi Ke Shaanon Ko Dekh Lo

Zainab Dekha Kai Shanoon Ko Jab Kar rahi Thi Bayaan
 Tharraa Rahaa Tha Rouza-e-Sultan-e-Mashraqain
 Bas Khatm Kar Nashar Ye Ghamnaak Daastaan
 Rotai Hain Is Aalam Main Zameen Aur Aasmaan

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.