Skip to main content

Teri Aankhon Si Aankhein

Teri Aankhon Si Aankhein
Aaj Ik Chehray Pe Dekhi Hain
Vohi Rangat, Banawat
Aur Wesi Hi Be Rukhi Un Mein
Bichartay Waqt Jo Main Ne
Teri Aankhon Mein Dekhi Thi
Teri Aankhon Si Aankhon Ne
Mujhay Ik Pal Ko Dekha Tha
Vo Pal Ik Aam Sa Pal Tha
Magar Uss Aam Se Pal Mein
Puranay Kitney Mousam,Kitney Manzar Main Ne Dekhy Thy
Meri Jaan Main Samjha Tha
Teri Aankhon Si Aankhein Jab
Meri Aankhon Ko Dekhein Gi
To Ik Lamhay Ko Sochein Gi
k In Aankhon Ko Pehlay b
Kisi Chehray Pe Dekha Hay
Magar in Jheel Aankhon Mein
Shanasayii Nahi Jaagi
Meri Aankhein!
Teri Aankhon Si Aankhon k Liye
Kab Khas Aankhein Thin
Teri Aankhon Ne Shayed Yeh
Kayii Chehron Par Dekhi Hon
k Yeh To Aam Aankhein Hain
Main Aisa Soch Sakta Tha
Magar Main Kya Karon Dil Ka
Jo Ab Yeh Yaad Rakhay Ga
Teri Aankhon Si Aankhein
Main Ne Ik Chehray Pe Dekhi Thin
Phir Uss k Baad Kitnay Din
Meri Aankhon Mein Sawan Tha...!!!

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.