Skip to main content

Meri Band Aankhoin Ka Saccha Kwaab Ho Tum

Meri Band Aankhoin Ka Saccha Kwaab Ho Tum,
Meri Tanhaio Ke Sawalo Ka Javab Ho Tum,
Ab To duniya Bhi Ruth Jaye To Gum Na Hoga
Meri Duniya, Kaynaat Mera Chaand Ho Tum…
`
Tum Chahe Izhaar Na Karo,
Hame To Tumhari Khamoshi Bhi Utni Hi Pyari Hai,
Tum Milo Na Milo,
Tumhari Yaadein Bhi Tum Jaisi Pyari Hai…
`
Tere Intazaar Ka Ye Alam Hai,
Tadapta Hai Dil Aakhein Bhi Nam Hai,
Teri Aarzoo Mein Jee Rahe Hai,
Warna Jeene Ki Khwahish Kam Hai..
`
Ashik Tu Soch Tera Kya Hoga Kyuki,
Hashar Ki Parvah Main Nahi Karta,
Fanah Hona Rivayat Hai Tumhari,
Ishq Naam Hai Mera Main Nahi Marta..
`
Pyar Ki Wo Misaal Banayege Hum,
Aankhen Band Karoge To Nazar Aayenge Hum.
Bhar Denge Itna Pyaar Dil Mein K,
Khud Se Pehle Yaad Aayenge Hum…


Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.