Teri talaash main niklay thay hum haath maltay huay
Rula diya aaj humain suraj ne dhaltay huay
Utaar Zehan Ke Gaaron Main Roshni-e-Mabood
Zamana Guzar gaya Seenon main dard Paltay Huay
Kisi ghata se kaho, Hum ko ab utha le jaaye
Ke Umer Beet gayee hum ko jaltay huay
Yahan to kuch bhi nahin hai siwaye kaanton ke
Kahan tak aagaye hum is raastay per chaltay huay
Sikha rahi hai zamanay ko zindagi ka chalan
Guzarti hai rail Dewana, Patrian badaltay huay.