Gham-e dauran bhi to hai k galat hota nahi
To kia yeh samjhein k gham kam hota nahi
Be'sabab royie gham-e hasti pe kyun danistan
Hota hai jab ba'daleel, kuch be'waja hota nahi
Aya khayal dekhiye rab ko dar-e dehleez-e dil
Log kehte hein wahan hota hai, par hota nahi
Mai piye jo gir rahe the yak ba yak pesh roz
Lijiye, suniye, k kehte hein nasha hota nahi
Kuch nahi mehr-o wafa, ik shokh si tehrer hai
Keh dia kai ho gaya par ishq youn hota nahi
Naaz dar khud kia karien jab dar-e tofan bhi
Kashti ka hai Allah hafiz, nakhuda hota nahi
Jab se chhayi hai zehn pe khushgli hoor ki
Husn-e bint-e hawa dekh, dil fida hota nahi
Sun Adeel tu bhi bs ab aa ja raah-e raast pe
Kuch nahi iss mein zayan, gar nafa hota nahi