Skip to main content

Hargiz Nahi Hein Matam o Sajda Alag Alag

Hargiz Nahi Hein Matam o Sajda Alag Alag
Dono Mein Hai Hussain (a.s) Ka Jalwa Alag Alag


 

 Sajdon Kay Bhi Nishan Hein Matam Ka Bhi Nishan
Dono Karenge Qabar Ko Roshan Alag Alag


 Jo Log Munkireen e Wilayat Hein Un Se Tou
Nimtenge Khud Imam e Zamana a.s Alag Alag


 Hur Ba-nasab Tha Aur Bad Nasab Tha Hurmala
Dono Ka Naam Aek Sa Shajra Alag Alag


 Haider Kay Munkiron Se Hain Momin Kuch Aese Door
Rehte Hein Jese Murdon Se Zinda Alag Alg...
 

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.