Skip to main content

Hai karbala ke bann mein ghareebon ka arba'een

Hai karbala ke bann mein ghareebon ka arba'een

Shabbir ke mazaar pe Zainab ki hai jabeen
 Aansoon bahaa rahey hain khadey Abid-e-hazeen
 Aabaad thi Hussain ke khadmon se ye zameen
 Ab haal ye hai sar pe koyi saayebaan nahin

Hai karbala ke bann mein ghareebon ka arba'een

Bhaiya hamare waade ki takmeel ho gayi
 Aisa safar hua hai ke sar par rida na thi
 Darbar-e-shaam mein thi khayamath ki bebasi
 Rudaad-e-gham sunaane ki taakhath bhi ab nahi

Hai karbala ke bann mein ghareebon ka arba'een

Maa jaye pehle aag lagi khaimagaah mein
 Har gaam ek taaza qayamath thi raah mein
 Bachi ki hichkiyon ka hai manzar nigaah mein
 Zindaan-e-shaam mein hai Sakina yahaan nahin

Hai karbala ke bann mein ghareebon ka arba'een

Laila tadap rahi hai ke dilbar nahin raha
 Lakhthe jigar shabeeh-e-payamber nahin raha
 Roney ko ma tho reh gayi Akbar nahin raha
 Chehlum jawaan bete ka aur aur maadar-e-hazeen

Hai karbala ke bann mein ghareebon ka arba'een

Abbas-e-naamwar jo harum ka tha paasbaan
 Rothi thi yaad karke jise saari bibiyaan
 Be aas jiski laash pe the shah-e-do jahan
 Laasha kahin tha haath kahin aur alam kahin

Hai karbala ke bann mein ghareebon ka arba'een

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.