Ab to zara khaime mein aao Ghazi, Ab to zara khaime mein aao

 Asghar ko paani pilao Ghazi, Asghar ko paani pilao

Tukde hue tere mashk aur alam ke
 Armaan hain tere baazu qalam ke
 Zainab ko baazu dikhao Ghazi, Zainab ko baazu dikhao
 Ab to zara khaime mein aao Ghazi, Ab to zara khaime mein aao

Jaoon kidhar main alamdaar bhai
 Mere Husain ke salaar bhai
 Zainab ka parda bandhao Ghazi, Zainab ka parda bandhao
 Ab to zara khaime mein aao Ghazi, Ab to zara khaime mein aao

Paani ko jaakar, tum vaapas na aaye
 Zainab ka kaun ab parda bandhaye
 Abbas kuch to bataao Ghazi, Abbas kuch to bataao
 Ab to zara khaime mein aao Ghazi, Ab to zara khaime mein aao

Abbas na aaye, Akbar na aaye
 Sunta nahin koi, meri sadaaein
 Ujrhon ko aake bachaao Ghazi, ujrhon ko aake basaao