Dil Sakina mein, nazar fauj pe
Hoton pe dua
Lo alamdaar chalaa
Mashq kaandhe pe rakhi
Pyaar kuchh aur badhhi
Aa gayi wo bhi gharhi
Jaanib-e-nehr chali leke pharere ki hawa
Lo alamdaar alamdaar alamdaar chalaa
Shor maujon se utha
Marhaba salla alaa
Boli ghazi se wafa
Peshwaai ko badhha sar ko jhukaaye dariya
Lo alamdaar alamdaar alamdaar chalaa
Paani chullu mein liya
Dil pe ek teer lagaa
Di Sakina ko sadaa
Paani laata hai meri jaan tera saqqa
Lo alamdaar alamdaar alamdaar chalaa
Mashq bharna thhi bhari
Go ke pyaasa thha jari
Tashnagi kehti rahi
Paani peele ay alamdaar jo mauqa hai mila
Lo alamdaar alamdaar alamdaar chalaa
Phir bhi paani na piya
Pyaas ko bhool gaya
Saani-e-sher-e-Khuda
Apne ghodey ko su-e-khaima jari leke badhha
Lo alamdaar alamdaar alamdaar chalaa
Sirf koshish thhi yahi
Paani pahunchaaye abhi
Poori hasrat na hui
Naagahaan mashq-e-Sakina pe laga teer-e-jafa
Lo alamdaar alamdaar alamdaar chalaa
Teer par teer chaley
Shaane ghazi ke katey
Rann mein Abbas girey
Kehte thhe aao madad ko meri ibne Zahra
Lo alamdaar alamdaar alamdaar chalaa
Aake laashe pe girey
Shah-e-deen rotey huey
Phir ye farmaane lagey
Chhod gaye tum bhi humein dasht-e-balaa mein tanha
Lo alamdaar alamdaar alamdaar chalaa