Skip to main content

Ay mominon payam-e-Sarwar ko yaad rakhna

Ay mominon payam-e-Sarwar ko yaad rakhna
 Ujda jo ek din mein us ghar ko yaad rakhna

Aaghosh mein tumhari masoom koyi aye
 Aur pyar se koyi maa jhoola usey jhulaye
 Banu ki bebasi ko Asghar ko yaad rakhna

Ujda jo ek din mein us ghar ko yaad rakhna

Tumko Khuda dikhaye khushiyon ka har sawera
 Qismath se jab bhi baandho apne pisar ka sehra
 Qasim ko yaad rakhna Akbar ko yaad rakhna

Ujda jo ek din mein us ghar ko yaad rakhna

Dekho na zindagi mein marna jawaan pisar ka
 Bete ka daagh dil par hotha hai umr bhar ka
 Laila ki hasrathon ko Akbar ko yaad rakhna

Ujda jo ek din mein us ghar ko yaad rakhna

Behenon ko betiyon ko jab bhi rida udhana
 Ham bekason ko hargiz dil se nahin bhulana
 Meri bahen ke sar ki chadar ko yaad rakhna

Ujda jo ek din mein us ghar ko yaad rakhna

Beton ko jo na royi khurbaan karke mujhe par
 Aur sar nahin uthaya ehsaan karke mujh par
 Us jaan nisaar meri khaher ko yaad rakhna

Ay mominon payam-e-Sarwar ko yaad rakhna
 Ujda jo ek din mein us ghar ko yaad rakhna

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.