Jangal mein bharey ghar ko lutaa aayi hai Zainab

Jangal mein bharey ghar ko lutaa aayi hai Zainab
 Ay shehr-e-madeena
 Aabid ko kisi tarha bachaa laayi hai Zainab
 Ay shehr-e-madeena

Bandhwaa ke rasan haathon mein aur khutbey sunaa ke
 Gharbaar lutaa ke
 Deewar badhey kufr ke dhaa aayi hai Zainab
 Ay shehr-e-madeena

Jis shehr mein shahzaadiyon ki tarha rahi thhi
 Naazon ki palee thhi
 Sar nangey usi shehr mein ho aayi hai Zainab
 Ay shehr-e-madeena

Jo hijr-e-pidar mein rahey har waqt pareshaan
 Soyi nahin ek aan
 Us bachchi ko zindaan mein sula aayi hai Zainab
 Ay shehr-e-madeena

Thha pyaar bohot bhai ko jis bhaai ke damm se
 Dil phhat-ta hai gham se
 Saahil pe akela usey chhod aayi hai Zainab
 Ay shehr-e-madeena

Chhe maah ke Asghar ko bhi jhoole ke bajhaaye
 Dukh dard chhupaaye
 Aaghosh mein turbat ke sulaa aayi hai Zainab
 Ay shehr-e-madeena

Thhe Aun-o-Mohammad jo mere aankhon ke taare
 Maamu ke dulaare
 Qurbaan unhein bhaai pe kar aayi hai Zainab
 Ay shehr-e-Madeena

Thhaa Akbar-e-naashaad jo us ghar ka ujaala
 Wo gesuwon waala
 Marqad mein akela usey chhod aayi hai Zainab
 Ay shehr-e-Madeena

Naadim hai bohot laa saki Qasim ko na humraah
 Wa hasrat-o-dardaa
 Kubraa ko magar saath le aayi hai Zainab
 Ay shehr-e-Madeena

Paani jo piye ahle watan pyaas na bhoolein
 Muh ashqon se dho le
 Kehne ko ye bhaai ka payaam laayi hai Zainab
 Ay shehr-e-Madeena

Manzar ko bhula sakti nahin taa damm-e-aakhir
 Kehne se qaasir
 Jo shaam ke darbaar mein dekh aai hai Zainab
 Ay shehr-e-Madeena

Jis waqt Khuda jaanta thha nikley thhe ghar se
 Chaadar chhini sar se
 Ab tak na masaaib se nikal paayi hai Zainab
 Ay shehr-e-Madeena

Shabbir ko royega taa hashr zamaana
 Hai gham ka fasaana
 Majlis ke bina shaam se laut aayi hai Zainab
 Ay shehr-e-Madeena