ajab waiz ki din-dari hai ya rab

ajab waiz ki din-dari hai ya rab
adawat hai ise sare jahan se
 
koi ab tak na ye samjha k insan
kahan jata hai ata hai kahan se
 
wahin se rat ko zulmat mili hai
chamak taron ne pai hai jahan se
 
ham apni dard-mandi ka fasana
 suna karte hain apne razdan se
 
bari barik hain waiz ki chalen
laraz jata hai awaz-e-azan se