Skip to main content

KARBALA KO SHAH (as) KE KADMO SE ULFAT HO GAIYEE

KARBALA KO SHAH (as) KE KADMO SE ULFAT HO GAIYEE
KHAQE DUNIYA BHI JAWABE KHAQE JANNAT HOGAIYEE



 KIS TARAH BHOOLE ZAMANA KARBALA KA INQELAAB
KHOON PANI BAN GAYA PANI KI KEEMAT HOGAIYEE



 ZERE KHANJAR KARBALA KI KHAQ PAR SHABBIR (as) NE
YOO KIYA SAJDA KE MERAAJ E IBADAT HOGAIYEE



 SOUNP KAR ISLAM KO AKBAR KI SHAMME ZINDAGI
ROUSHNI SHABBIR KI AANKHO SE RUKHSAT HOGAIYEE
 

 KARBALA ME UTH GAYE PARDE NIFAK O QUFR KE
JISKI JO SIRAT THI USKI VAISI SURAT HOGAIYEE
 

 HAMSE PUCHO KIS TARAH JANNAT BANI ROZE AJAL
ULFATE AAL E NABI FAILI TO JANNAT HOGAIYEE
 

 KYON NA 'SHARIB' ROIYE USKI KHUSI KE WASTEY
JISKE GHAM ME ASHQ REZI BHI IBADAT HOGAIYEE... - a.z

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng