Skip to main content

GHABRA KE JO AANKHO SE NIKAL AATE HAIN AANSOO,

GHABRA KE JO AANKHO SE NIKAL AATE HAIN AANSOO,
RUMAAL ME ZEHRA (sa) KE SUKH PAATE HAIN AANSOO...



 AIJAZ HAI BAS ''NAAM E HUSSAIN (as) IBN E ALI (as)'' KA,
HAR EK KE KABOO ME KAHA AATE HAIN AANSOO...



 FARSHE GHUM E ''SHABBIR'' PE YE MATAME SARWAR (as),
RUKHSAAR PE KHUD AAKE BICHA JAATE HAIN AANSOO...



 BATLAYE KOI MUJHKO KAREEB AANE SE PEHLEY,
AANKHO ME MERI AAKEY KAHAN JAATE HAIN AANSOO...
 

 HAI SAMNE TOOFAAN E HAWADIS KE THAPEDE,
GHABRAO JAFAR TUM NA ABHI AATE HAIN AANSO... - a.

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng